Syeda Fatima Zahra o Batool e Azra s.a

Syeda Fatima Zehra O Batool E Azra
Rab Ke Hone Ki Zamanat Hai Musalla Tera

Koi Tafseel Se Likhe Jo Teri Azmat Ko
Kam Se Kam Quran Ho
Mukhtasir Likhe Tou Kausar Hai Qaseeda Tera

Nisf Eman Ki Hoti Hai Muhafiz Zouja
Is Se Sabit Ye Hua
Kulle Eman Ka Eman Hai Adha Tera

Ab Samajh Aaya Ke Jibreel Kyun Aage Na Barhe
Taake Duniya Samjhe
Sarhad E Sidra Se Aage Hai Ilaaqa Tera

Tune Dozakh Se Bachana Hai Gunehgaro Ko
Hum Azadaro Ko
Naam Allah Ne Yun Fatima Rakha Tera

Noor Hai Aaya E Tatheer Ka Mafhoom Hai Wo
Sach Hai Masoom Hai Wo
Tu Ne Jab Keh Diya Abbas Hai Beta Tera

Teri Fizza Ko Abhi Tak Nahi Samjha Koi
Aye Meri Shahzadi
Kese Duniya Ko Samajh Aaye Ga Rutba Tera

Tab Kahin Jaa Ke Andhero Mein Ujale Utre
Chaand Suraj Chamke
Jab Utara Gaya Aflaak Pe Sadqa Tera

Kya Hai Allah Ka Kya Hai Tera Maloom Nahi
Hai Takallum Ko Yaqeen
Maslak E Ishq Mein Hota Nahi Mera Tera

Leave a Comment

error: Content is protected !!