Hassan Hussain Se Pehle Shaheed E Kamsin Hai
Woh Koi Aur Nahi Syeda Ka Mohsin Hai
Hua Shaheed Jo Deewar O Dar Ke Beech Aakar
Jise Bachane Se Zakhmi Hai Pehlu E Maadar
Udaas Iske Liye Raat Ghumzada Din Hai
Woh Jisne Karbobala Ka Safar Kiya He Nahi
Zabaan Se Jis Ne Abhi Maa Ko Maa Kaha He Nahi
Woh Jhulta Kisi Jhule Mein Kya Ye Manzar Hai
Ali Ne Aisa Janaza Kahan Uthaya Hai
Shaheed Ho Ke Jo Maidan E Ghum Mein Aaya Hai
Woh Sheerkhuwar Jo Na Waaqif E Qad O Sin Hai
Woh Jis Ko Ghusl O Kafan Ki Kahan Zaroorat Thi
Woh Jis Ke Tan Pe Ba Misl E Khuda Taharat Thi
Jo Karbala Ki Zameen Ka Imam E Zamin Hai
Chupa Rahe Hai Musalman Isi Shaheed Ki Baat
Gawaah Jis Ki Shahadat Ki Hai Khuda Ki Zaat
Ye Qatl Sab Pe Ayaan Hai Kahan Ye Baatil Hai
Qasam Khuda Ki Ba Misl E Hussain Ibn E Ali
Shaheed Hogaya Lekin Madad Kisi Ki Na Li
Malool Iske Liye Qoum E Zaafar E Jin Hai
Isi Ke Azm Ki Taqleed Ki Hai Asghar Ne
Isay Shaheed Kiya Hai Sitam Ke Lashkar Ne
Malool Taigh E Ali Is Shaheed Ke Bin Hai
Firaaq E Hazrat E Mohsin Mein Mar Gayi Zahra
Kisi Bhi Maa Pe Na Utre Ye Be Amaan Sadma
Ye Dard Samjhe Ga Rehan Jo Bhi Momin Hai
