Phir Fatima Ke Ghar Mein Farsh e Aza Bicha Hai
Beemar E Karbala Ka Taboot Uth Raha Hai
Karb O Bala Ka Zakhmi Yasrab Main Chal Basa Hai
Haye Zair E Kafan Bhi Uski Aankhon Se Khoon Hai Jaari
Yaad Aa Rahi Hai Ghurbat Sajjad Ko Pidar Ki
Roze Se Mustafa Ke Elaan Ho Raha Hai
Haye Baqar Se Keh Raha Tha Sadat Ka Gharana
Pehlu Main Nana Jaan Ke Mayyat Na Le Ke Jaana
Pehle Bhi Aik Janaza Ghar Wapas Aa Chuka Hai
Haye Ab Tu Madine Walo Tum Ko Sukoon Rahega
Roye Ga Aur Na Uski Aankhon Se Khoon Bahega
Baba Ko Rone Wala Khamosh Ho Gaya Hai
Mayyat Ke Aage Aage Koi Ye Keh Raha Tha
Bazaar Se Na Guzra Sajjad Ka Janaza
Bazaar Ko Ye Qaidi Hota Hua Gaya Hai
Are Mara Hai Zalim Ne Is Tarah Se Zehar De Ke
Kat Kat Ke Bahar Aaye Uske Jigar Ke Tukre
Pehlu Pe Fatima Ke Phir Zakhm Ek Laga Hai
Taboot Sa Lipat Kar Kehti Hai Koi Bachi
Zindan Sa Aayi Hai Bhaiya Behan Tumhari
Aankhen Tu Khol Lo Ab Sar Par Mere Rida Hai
Akbar Jo Laash e Fiza Dafna Ke Uthain Maula
Haye Aayi Sadain Zainab Baqar Watan Chala Ja
Sajjad Ka Janaza Tayyar Ho Gaya Hai
