Tadfeen E Imam Hussain

Aye Rone Walon Hai Ye Ghari Shor O Sheen Ki
Tadfeen Ho Rahi Hai Imam Hussain Ki

Kufa Se Aaye Pehne Jo Sajjad Beriyan
Laash Hussain Dekh Ke Aansoo Hua Rawan
Hathon Ko Jor Kar Kiya Beemar Ne Bayan
Baba Tumhari Lash Ko Dhondo Kahan Kahan
Kaise Kafan Doon Laash Ko Ghurabat Naseeb Hon
Baba Main Aaj Tum Se Zyada Ghareeb Hon

Rokar Bani Asad Ke Qabeele Ko Di Sada
Laash E Hussain Mil Ke Ikatha Karo Zara
Utre Lihad Mein Shah Ki Beemar E Karbala
Bole Parhoon Main Kis Tarah Talqeen Ya Khuda
Rukh Kaise Sou E Kaaba Ho Zahra Ke Chain Ka
Sar He Nahi Yahan Mere Baba Hussain Ka

Jitne Bhi Tukra Mil Saka Sab Chun Liye Gaye
Aahista Se Lihad Mein Woh Beemar Ne Rakhe
Seene Pe Haath Rakha Jo Beta Ne Baap Ke
Halat Pe Baba Jan Ki Sajjad Ro Pare
Bole Ke Khud Bhi Is Waqt Dadi Jaan
Tooti Hain Istarah Mere Baba Ki Pasliyan

Looti Hai Aise Laash Ghurab Al Diyar Ki
Ghoron Se Pehle Laash Ki Pamaali Ki Gayi
Phir Karta Aur Amama Abba Le Gaya Koi
Ye He Nahi Ke Sirf Angoothi Nahi Mili
Be Ehtrami Ki Hai Yun Zahra Ke Chain Ki
Ungli Laeen Ne Kati Hai Baba Hussain Ki

Teeron Se Sara Jism Hai Haye Bhara Hua
Pehlon Pe Baba Jan Ke Hai Neza Gara Hua
Tera Jagaon Se Unka Gala Hai Kata Hua
Hai Tan Yahan Pe Sar Wahan Khoon Se Bhara Hua
Sar Dekh Kar Yaqeen Hai Mere Khandan Ko
Mara Pathron Se Mere Baba Jan Ko

Barh Kar Bani Asad Ne Ye Ik Baat Puch Li
Mola Maaf Kijiye Gar Ho Khata Koi
Choti Si Kya Ye Seene Pe Sha Hai Rakhi Hui
Abid Ki Baat Sun Ke Har Ek Maa Tarap Gayi
Bole Ye Dekh Dekh Ke Dil Paash Paash Hai
Seene Pe Baba Jan Ke Asghar Ki Laash Hai

Pucha Kisi Ne Mola Barabar Mein Kaun Hai
Shabbir Us Ke Seene Pe Kyun Haath Hai Rakhe
Lagta Hai Unko Pyar Tha Is Nojawan Se
Akbar Ka Naam Lete Hi Sajjad Ro Pare
Bole Ke Haath Seene Pe Yun Hai Rakha Hua
Hai Beta Ke Kaleje Mein Neza Laga Hua

Aayi Sada Ye Fatima Zahra Ki Qabr Se
Sajjad Laut Jao Ke Baba Ko Ro Chuke
Kufa Mein Yaad Karti Hai Beti Meri Tujhe
Tum Tu Yahan Ho Wo Bhala Awaaz Kis Ko De
Zainab Ke Dil Ko Aur Bhi Zalim Rulata Hai
Shamr E Laeen Behan Tamacha Lagata Hai

Sajjad Karbala Ke Wo Manzar Ajeeb Thay
Farhan Aa Rahi Thi Ye Aawaaz Qabr Se
Milwa Do Beta Phir Zara Abbas Se Mujhe
Bolo Ke Aakhri Ye Meri Baat Maan Le
Abid Pukare Ae Dil E Ehsaas Aaiye
Mitti Lihad Pe Daalne Abbas Aaiye

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *