Tadfeen Shahzadi Sakina

Bayan Karta Hon Zindan Mein Kya Qiyamat Thi
Ghareeb Baba Se Jism e Ghareeb Beti Mili
Wo Apne Baba Ke Sar Se Lipat Ke Rone Lagi
Tarap Ke Li Jo Sakina Ne Aakhri Hichki
Kaleja Phatta Hai Kaise Sunaoon Wo Manzar
Rakhe The Beti Ne Rukhsar Baap Ke Munh Par

Andheri Qaid Mein Phir Kya Hua Suno Aage
Behan Ko Dekha Jo Baba Ke Sar Se Lipte Hue
Tarap Ke Baali Sakina Ke Paas Aa Pohnche
Jo Nabz Dekhi Tu Sajjad Ne Kaha Ro Ke
Utha Rahi Thi Jo Gham Ab Woh Thak Gayi Gham Se
Phuphi Humari Sakina Bichhar Gayi Hum Se

Laraz Raha Tha Wo Zindan Aah o Girya Se
Ye Bole Abid e Muztar Ghareeb e Zahra Se
Chhudaoon Kaise Mein Sar Aap Ka Sakina Se
Mili Hai Kitne Dino Baad Apne Baba Se
Bahut Ghareeb Hoon Yeh Gham Utha Na Paoonga
Behan Ki God Se Mein Sar Chhuda Na Paoonga

Sar e Hussain Chhudaya Jo Ya Ali Keh Kar
Kaha Sakina Se Tum Par Salaam Aye Khwahar
Na Jaane Kitne Hain Ehsaan Aap Ke Mujh Par
Ye Bhai Kaise Utaare Ga Qabr Ke Andar
Ye Dekho Jakra Hai Zanjeer Mein Hamara Badan
Tumhara Lasha Na Bhai Se Uth Sake Ga Behan

Sitamgiron Ne Jo Karb o Bala Mein Bandhi Thi
Gale Mein Ho Gayi Pewast Haaye Woh Rassi
Chhinee Thi Baliyan Hain Kaan Aaj Bhi Zakhmi
Sitam Ki Had Yeh Hui Aap Mar Gayin Pyaasi
Ayaan Hain Chehre Pe Ab Tak Nishaan Tamanchon Ke
Chupaoon Kaise Bhala Mein Yeh Neel Gaalon Ke

Wo Raah e Shaam Woh Ghurbat Bhulaoon Mein Kaise
Ek Aisa Modh Tha Ghazi Ka Sar Tha Nayze Pe
Jab Un Ke Saamne Lakar Pakad Ke Baalon Se
Tamanchay Maare The Zalim Ne Tumko Hans Hans Ke
Laeen Kehta Tha Abbas Ab Na Aayega
Nahi Hai Koi Jo Durron Se Ab Bachaayega

Pukarein Lashe Sakina Pe Zainab e Muztar
Yeh Karbala Mein Qiyamat Guzar Gayi Tum Par
Phuphi Ke Saath Khadi Dekhti Rahi Manzar
Chala Tha Bhai Ke Sookhe Gale Pe Jab Khanjar
Kaha Yeh Bhai Ne Do Mera Sath Aye Zainab
Rakho Sakina Ki Aankhon Pe Hath Aye Zainab

Phuphi Bhateeje Se Kehti Thein Mat Karo Faryaad
Tumhara Saath Mein Deti Hoon Sayyid e Sajjad
Padi Hai Hum Pe Qiyamat Se Bhi Badi Uftaad
Tumhari Tarah Mere Haath Bhi Nahi Aazad
Hai Ab Yeh Shaam Ka Zindan Hi Watan Iska
Yahi Jala Hua Kurta Hai Ab Kafan Iska

Kaha Yeh Sani e Zahra Ne Bibiyon Aao
Janaza Baali Sakina Ka Saath Uthwao
Jo Apne Baba Ko Roti Thi Usko Dafnwao
Nahi Hai Paani Tu Turbat Pe Ashk Barsao
Wo Raat Aayi Thi Zeeshan Aur Raza Kaisi
Lahad Mein So Gayi Beti Ghareeb e Zahra Ki

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *