Haye Zahra Teri Tanhai Hai Tanhai Ali Ki
Haye Gham Mein Tere Jati Rahi Benayi Ali Ki
Darbar Mein Zalim Ke Gayi Bint-e-Payamber
Kya Waqt Tha Kuch Kar Na Saka Fateh-e-Khaiber
Haye Hanste Rahe Ghurbat Pe Tamashai Ali Ki
Paigham-e-Wilayat Liye Ghar Ghar Gayi Zahra
Shohar Ke Liye Dhaal Thi Jab Tak Rahi Zinda
Haye Dunya Ko Batati Rahi Sachai Ali Ki
Kehte The Ali Zahra Se Kya Waqt Hai Bibi
Ab Hum Ko Salam Aa Ke Bhi Karta Nahi Koi
Haye Hai Baad-e-Nabi Kaisi Pazeerai Ali Ki
Dar Jalta Howa Fatima Zahra Pe Giraya
Mohsin Ki Shahadat Ka Sabbab Ban Gayi Dunya
Haye Tasveer Mukamil Nahi Ho Payi Ali Ki
Bahir Kabhi Hujray Mein Kabhi Qabar-e-Nabi Par
Har Raat Ki Tareeki Mein Ulaad Se Chup Kar
Haye Nikli Hai Tujhe Dhoondne Benai Ali aKi
Zahra Ki Judai Ko Lagaye Howay Dil Se
Pachees Baras Maula Ne Chup Chaap Guzare
Haye Ik Hujre Mein Kul Dunya Simat Ayi Ali Ki
Uss Waqt Takallum Wo Zamane Ka Wali Tha
Sajjad Jo Zainab Ko Liye Shaam Se Guzra
Haye Islam Ko Khamoshi Bacha Layi Ali Ki
