Tasbeeh e Fatima

Jab Main Tasbeeh e Janab e Fatima Parhne Laga
Arsh Tak Parwaz Thi Allah  o Akbar Jab Kaha
Parh Raha Tha Noor Ik Subhana Rabi yal Aala
Aur Mere Dil Mein Thi Yeh Alhamd o Lillah Ki Sada

Hamd Hai AlHamd Ke Dil Mein Bara e Fatima
Be Ke Nuqta Sa Hai Aagaz e Sana e Fatima

Ghar Khuda Ka Hai Kiya Aabad Ali Ne Tu Khuda
Chahta Hai Keh Ali Ka Ghar Basaye Fatima

Maqsad e Mairaj Ik Ye Bhi Tha Keh Khud Mustafa
Arsh Tak Chal Kar Khuda Se Laina Aaye Fatima

Pas Hai Parda Ka Warna Apne Haq Ke Waste
Har Nabi Ka Mojza Kar Ke Dikhaye Fatima

Kehti Hain Esa Se Mariyam Dekh Lo Beta Issa
Mehdi Tak Le Jaye Ga Yeh Naqsh e Paye Fatima

Puch Kar Allah Se Jibreel Ne Sabit Kiya
Janta Koi Nahi Raz e Kisa e Fatima

Woh Razi Allah Bhi Gar Ho Tu Uth Sakta Nahi
Jis Kissi Ko Apni Nazron Se Giraye Fatima

Fatima Ke Dushmano Par Karna Phir Lanat Asad
Us Pe Wajib Hai Jo Khata Hai Ghizaye Fatima

Leave a Comment

error: Content is protected !!