Taweez E Hasan Jab Qasim Ne Shabbir Ko Dikhlaya
Bhai Ko Bhai Yad Aya
Khat Bhai Ka Parh Kar Roye
Dil Dard Se Tharraya
Ek Pal Ke Liye Nazron Mein Phira Bhai Ki Shahadat Ka Manzar
Kya Bain Kiye The Behnon Ne Tha Tasht Mein Tukre Tukre Jigar
Qasim Ka Kahin Ye Haal Na Ho Is Baat Ne Tarpaya
Tehreer Mein Shabbar Ne Ye Kaha Taskeen E Mohabbat De Dena
Maqtal Ki Ijazat Jab Mange Qasim Ko Ijazat De Dena
Tab Noha Kia Aur Qasim Ko Seene Se Liptaya
Khat Parh Ke Ijazat Di Sheh Ne Hathyar Sajaye Qasim Ne
Talwar Laga Kr Patke Mein Jauhar Wo Dikhaye Qasim Ne
Sadqa Jo Utara Zainab Ne Dil Shah Ka Bhar Aya
Ghore Se Gira Jab Ibne Hasan Maula Ko Pukara Wa Waila
Pahuche Jo Shah E Deen Maqtal Mein Pamal Badan Tha Qasim Ka
Bhai Ke Pisar Ko Maula Ne Is Haal Mein Jab Paya
Phir Apni Aba Ke Daman Mein Qasim Ko Sameta Maula Ne
Kis Tarha Uthaun Ye Laasha Ghazi Ko Pukara Maula Ne
Qasim Ka Sarapa Tukro Mein Taqdeer Ne Dikhlaya
Khaime Mein Jo He Laaye Laasha Sar Ahle Haram Ne Peet Lia
Fizzah Ne Kaleja Thaam Lia Zainab Ke Labon Par Noha Tha
Farwa Ki Taraf Dekha Sheh Ne Aankho Mein Lahoo Aya
Mesum Wo Qayamat Ka Manzar Tehreer Mein Laya Hai Mazhar
Gathri Ko Jo He Khoola Sheh Ne Saadat Huye Phir Khaak Basar
Ashko’n Ko Ali Ka Beta Bhi Tab Rok Nahi Paya
