Hasrat Hai Matamdaron Ki Ya Mehrooma Ya Mazlooma
Teri Qabr Pe Saya Ho Jaye
Ho Pursa Teri Turbat Per Abad Baqqaiya Ho Jaye
Teri Qabr Ki Qurbat Pe Bibi Be Chain Risalat Roti Hai
Hai Baap Ki Turbat Saye Main Aur Dhoop Main Beti Soti Hai
Din Raat Jo Dard Se Dhalta Hai Dil Baap Ka Thanda Ho Jaye
Zakhmi Hai Badan Zakhmi Hai Kafan Ye Ajre Risalat Tora Hai
Phly Jo Shikasta Pehlo Thi Kyun Uski Qabar Ko Tora Hai
Ab Khatm-e-Rasool Ki Beti Pa Ye Zulm Khudaya Ho Jaye
Makhdooma Sham Ki Qaidi Main Teri Qaid Ka Matam Karty Hain
Mosa Kazim Or Masooma Din Rat Ye Noha Pharty Hain
Teri Qabar Pe Hai Jo Mudat Se Ab Khatm Ye Pehra Ho Jaye
Darwaza Jalaya Ek Bar Magar Sadiyon Se Turbat Jalti Hai
Tujh Pe Jo Sham-e-Gareeba Hai Bujhti Hai Na Jalti Hai
Tujh Pe Jo Shab Ashoor Ki Hai Ab Uska Saweera Ho Jaye
Jisne Bhi Tujhe Tarpaya Hai Ab Us pe Qaza Ka War Chale
Har Mujrim Pe HAr Zalim Pe Tere Mehdi Ki Talwar Chale
Sadat Ka Ujra Ghr Ab Tu Abad Dobara Ho Jaye
Tum Karbobala Mashad Ki Tarha Tameer Tera Roza Dekhen
Teri Turbat Pe Girya Dekhen Tere Rozy Pe Pursa Dekhen
Mazloom Imam-e-Zamana Ka Arman Ye Pura Ho Jaye
Poet: Janab Imran Jatki
Noha Khuwan: Kazmi Brothers
