Teri ummat ne Mere dar ko jalaya Baba
Phir wo jalta huwa dar mujhpe giraya Baba
Rakh thi shole the sehme huwe bacche ya dhuwa
Mere anghan mein tha ik sham e ghareeba ka sama
Dar hatha kar mujhe fizza ne uthaya Baba
Lout kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
Meri zainab ko meri peshi ka pehla Noha
Mere balon ki safaidi ne sunaya Baba
Lay chale qaidi bana kar jo ali ko dushman
Maine chora nahi haider ki aba ka daman
Taziyanon ne magar mujhse churaya Baba
Beth kar parhti hon mushkil se Namaz e shab bhi
Phir bhi abbas ki khilqat ki dua bhooli nahi
Jab bhi zakhmi huwe haathon ko uthaya Baba
Zakhmi halat mein bhi dehleez se bahar ayi
Aur Ali un wali ullah bacha kar laayi
Ehd jo maine kiya tha wo nibhaya Baba
Khud yeh dekha hai tere sheher ki deewaron ne
Aisi Gurbat thi ke hathon mein sitamgaron ne
Rasiya bandh ke haider ko phiraya Baba
Jis jagha app ne ruk ruk ke ijazat mangi
Wahan ghustakh musalmanon ne baiyyat mangi
Arey koi sholey to koi lakriya laya Baba
Arsh aur farsh pe mohsin huwa khohram bapa
Jis ghari ro ke wilayat ki shaheeda ne kaha
Mujhko haas haas ke zamane ne rulaya Baba
