Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai – 2024

Haye Baba Haye Baba

Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai
Kaise Darwaza Hataon Kaise Mohsin Ko Bachaon
Sans Seene Main Ruki Hai

Haye Teri Ummat Ne Bana Di Hai Ye Halat Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamt Baba
Sans Leti Hun Main Jis Dam Rukne Lagta Hai Mera Dam
Sirf Marne Ki Kami Hai

Bin Ali Ke Zamane Mein Main Jiyun Gi Kaise
Sab Hai Bardasht Ye Bardasht Karun Gi Kaise
Arey Barh Gaye Haad Se Adawat
Teri Beti Ko Ye Ummat Bewa Karne Pe Tuli Hai

Kabhi Darbar Main Peshi Ko Bulaty Hain Humein
Kabhi Darwaze Pea A Aake Satate Hain Humein
Mere Ye Phool Se Bachy Pochty Hain Yahi Mujhse
Kya Khata Hum Se Hue Hai

Guzri Athara Baras Main He Wo Mujhper Baba
Sin Mera Lagta Hai Fizza Ke  Baraber Baba
Khud Gawahi Tumhe De Gi Mere Balon Ki Safaidi
Wo Jafa Mujhpe Hue Hai

Jab Se Hasnain Ke Baba Se Sun Hai Ye Kalam
Ke Mujh Ko Ab Koi Madine Main Nahi Karta Salam
Tab Se Ye Haal Hai Mera Apne Ghum Bhool Ke Baba
Bs Mujhe Fikr E Ali Hai

Sharm Aati Hai Bhala Tumko Bataon Kaise
Ye Tamachay Ka Nishan Tumko Dikhaon Kaise 
Tum Na Pehchan Sako Gy Dekh Kar Mujhko Kaho Gy
Kya Meri Zahra Yahi Hai

Qabr E Zahra Se Takallum Se Sada Aati Hai
Kitni Sadiyon Se Meri Qabr Pe Weerani Hai
Phool Turbat Pe Charhane Ik Diya Laake Jalane
Kya Madine Main Koi Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!