Amma Meri Amma
Amma Meri Amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Abhi kuch dair tou thehro mera phatta hai jigar
Pas tum bhi mere nana ke chali jana magar
Akhri baar kaleje se laga lou amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Bin tumhare nahi manzor ye jeena mujhko
Rass aye ga kahan ab ye madina mujhko
lay chalo sath kafan main he chupa lou amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Jab se mara hai sitamgar ne tamacha tumko
Ankh bhar ke nahi shbbar ne hai tumko
Aik nazar rotay huwe bete pe daalo Amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Dil nahi manta kis tarha ye bardasht karun
Dekh kar apke katil ko main khamoosh rahun
Iss aziyat se kisi tarha nikalo amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Jab talak tum na bulao gin a aye ga hussain
Pyar maa bete ka duniya ko dikhaye gaa hussain
Aj pehlu se zara hath hata lou amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Tum na hogi tou main duniya main jiyun ga kaise
Aj maa bete ka ik saath janaza uthy
Aik jannat se kafan or Manga lou amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Katal mohsin ka huwa or main khamoosh raha
Ap per zulm huwa aur main khamoosh raha
Ab khamooshi se meri pehra utha lou amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Sath jayein gy wahan sare behan bhai abhi
Jahan rone ki shikayat na kare ga koi
Dour yasrub se koi basti basa lou amm
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
Maa ki mayat pe bhi rehwar se girty dam bhi
Sheh ne awaz takallum ussi andaz main di
Apne mazloom ko gaudi main utha lou amma
Tor Kar bande kafan mujhko bulalo amma
Karbala wale musafir ko sambhalo amma
