Tou Kya Karoge

Ali Ka Beta Hai Ane Wala
Jab Ayega Waris E Haqiqi Koi Fasana Nhi Chale Ga
Ali Wali Ke Mukhalifon Phir Koi Bahana Nhi Chale Ga
Ali Ke Dushman Ali Ka Beta Jo Lout Aya Tou Kya Karoge
Aur Aake Usne Fidak Ka Tum Se Hisab Manga Tou Kya Karoge

Ali Ki Ammad Ka Jo Nishan Hai
Abhi Bhi Tum Se Mita Nhi Hai
Zahoor E Qayam Pe Phir Dubara
Hansa Jo Kaba Tou Kya Karoge

Batao Fatwa Farosh Mufti
Aza Ke Waris Ke Hukam Par Jab
Hussain Ibne Ali Ka Matam
Haram Main Hoga Tou Kya Karoge

Tamam Nabiyon Ko Tum Jo Sahib
Ali Se Afzal Bata Rahe Ho
Namaz Ibne Ali Ke Peeche
Parhein Ge Issa Tou Kya Karoge

Humein Jo Kehte Ho Shia Kafir
Zamane Walon Ye Soch Lena
Ba Roz E Mehshar Khuda Ne Jannat
Main Hum Ko Bheja Tou Kya Karoge

Abhi Tou Kamtar Smajh Rahe Ho
Magar Imam E Zaman Aakar
Khud Apne Nazdeek Matami Ko
Agar Bithaya Tou Kya Karoge

Tum Apni Kamzoor Mantaqon Se
Yazeed Ko Jo Bacha Rahe Ho
Bana Ke Qaidi Gali Gali Main
Usay Phiraya Tou Kya Karoge

Jahan Chupo Ge Aye Munkiron Tum
Makan Kahe Ga Yahan Chupe Hain
Batao Baad E Zahoor Tum Per
Ye Waqt Aya Tou Kya Karoge

Khuda Ali Ko Tou Keh Rahe Ho
Magar Zara Dair Ko Tou Socho
Kiya Ali Ne Khuda Ko Aate He
Us Ne Sajda Tou Kya Karoge

Ary Takallum Se Jalne Walo
Zaban Se Shole Ugalne Walo
Kahe Ge Mola Jab Us Se Aakr
Parho Qaseeda Tou Kya Karoge

Leave a Comment

error: Content is protected !!