Tu Na Aya Ghazi (as)

Haye Abbas Haye Abbas
Al E Imran Kahan Aur Zindan Kahan
Le Behan Qaid Hui Tou Na Aya Ghazi
Jab Rida Sar Sa Chini Main Sada Deti Rahi
Tu Na Aya Ghazi

Agaye Sham E Alm Lut Gaye Ehl E Haram
Rait Per Jalti Hui Hogaya Thanda Alam
Pursa Dene Ke Liye Tujh Sa Milne Ke Liye 
Agaye Baba Ali

Dhoop Main Tu Tha Shajar Tujhsa Abad Tha Ghar
Hai Barhana Mera Sar Kya Nahi Tujh Ko Khabar
Aye Alamdar E Wafa Is Behan Ko Ba Khuda
Tujh Sa Dharas Thi Bari

Kya Kahon Sher Mere Be Rida Hum Ko Liye
Ye Musalman Sara Shehr Dar Shehr Gaye
Khalqat E Kufa Kabhi Khalqat E Sham Kabhi
Baraha Hum Pe Hansi

Kitni Bebas Thi Behan Aye Shehanshah E Wafa
Naam Le Le Ke Mera Jab Ye Zalim Ne Kaha
Naaz Tha Jis Pe Tujha Ab Bulao Na Usa
Aur Main Roti Rahi

Hum Ko Pani Na Mile Teri Khushboo Tu Rahay
Tere Bazu Na Katain,Chahe Mashkeza Chida
Ye Magar Ho Na Saka Tere Bazu Hain Juda
Mujh Pe Hai Tashna Labi

Kya Sakina Sa Kahon Aye Mere Dil Ke Sukoon
Haye Pani Ke Liye Beh Gaya Sub Tera Khoon
Abb Koi Aas Nahi Tou Mere Pass Nahi
Rasi Shanoon Main Bandhi


Jab Chali Sheh Pe Churi Aye Mere Sher E Jari
Hath Malti Thi Behan Kuch Qadam Dur Khari 
Kaat Gaya Sheh Ka Gala Haye Bhai Ne Sada
Mujh Ko Har Zarb Pe Di

Qaid Khane Main Qaza Jab Sakina Ko Mili
De Ke Kurta Ka Kafan Bachi Dafnai Gayi
Us Ghari Naam Tera Surat E Naad E Ali
Bus Main Dohrati Rahi

Roya Rehan Kalam Kar Ke Ye Baat Rakam
Khoon Main Doob Gaya Mera Ghazi Ka Alam
Zakhmi Zainab Ka Jigar Khoon Fishan Shah Ka Sar
Aye Khaimon Main Shaqi  Tou Na Aya Ghazi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *