Tum Roz Meri Qabr Pe Ana Abul Hasan

Zahra Se Haal Pochne Jab Aaye Murtaza
Ro Ro Ke Fatima Ne Wasiyat Mein Ye Kaha
Mere Hasan Hussain Ko Lana Abul Hasan
Tum Roz Meri Qabar Pe Aana Abul Hasan

Tashna Labi Mein Us Ko Aata Nahi Hai Chain
Raton Ko Mangta Hai Pani Mera Hussain
Uth Uth Ke Us Ko Pani Pilana Abul Hasan

Khaya Tha Jab Tamacha Tha Samne Hasan
Rota Hai Mere Gham Mein Woh Mera Gulbadan
Tum Us Ko Pas Apne Bithana Abul Hasan

Aaye Ga Jo Mere Ghar Ban Kar Dua Meri
Kurta Siyya Hai Us Ka Ik Hath Se Ali
Abbas Ko Ye Baat Batana Abul Hasan

Jab Betiyon Ko Meri Yaad Aaye Ya Ali
Parde Mein Shab Ke Haye Dekho Kabhi Kabhi
Un Ko Bhi Meri Qabar Pe Lana Abul Hasan

Phir Ro Ke Bolein Zahra Aye Waqt Ke Imam
Tum Ko Main Hath Utha Ke Kaise Karon Salam
Uthta Nahi Hai Ab Mera Shana Abul Hasan

Jab Mujh Ko Ghusal Dene Aaoge Ya Ali
Kuch Aise Zakhm Hain Jo Dekho Ge Us Ghari
Bachon Se Mera Haal Chupana Abul Hasan

Maiyyat Se Meri Aa Ke Lipte Ga Jab Hussain
Nazuk Bohat Hai Dekho Woh Mere Dil Ka Chain
Aahista Us Ko Maa Se Churana Abul Hasan

Kab Chain Se Rahon Gi Bachoon Ki Fikar Mein
Zehmat Main De Rahi Hoon Yeh Aakhri Tumhein
Bachoon Ka Mujh Ko Haal Sunana Abul Hasan

Zeeshan Aur Raza Woh Kehti Thi Ya Ali
Zahra Ka Sath Tum Ne Chora Nahi Kabhi
Tanhai Mein Bhi Sath Nibhana Abul Hasan

Leave a Comment

error: Content is protected !!