Unnees So Hain Zakhm

Gir Kar Kabhi Uthe Kabhi Rakha Zameen Pe Sar
Ublaa Lahu Kabhi Tu Sambhala Kabhi Jigar
Hasrat Se Ki Khayam Ki Janib Kabhi Nazar
Karwat Kabhi Tadap Ke Idhar Li Kabhi Udhar
Uth Baithe Jab
To Zakhmo Se Barchi Ke Phal Gire
Teer Aur Tan Me Gadh Gaye Jab Mun Ke Bal Gire
Jungle Se Aai Fatema Zehra Ki Ye Sadaa
Ummat Ne Mujhko Loot Liya Wa Mohammada
Is Waqt Kaun Haqqe Rifaqat Kare Adaa
Zainab Se Boli Fatema Zehra Basad Bukaa
Unnees So Hai Zakhm Tane Chaak Chaak Par
Zainab Nikal Hussain Tarapta Hai Khaak Par

Kis Chaah Se Paala Ise Aanchal Main Chupaa Kar
Mai Jaagti Rehti Ise Raaton Ko Sulaa Kar
Chakki Bhi Jo Peesi Hai Tu Godi Main Bitha Kar
Kis Haal Main Dekha Hai Ise Dasht Main Aakar

Hai Kaun Jo Mazloom Ko Teeron Se Bachaye
Sehroz Ke Pyase Ko Koi Paani Pilaye
Zakhmo Mein Bhari Khaak Koi Aake Chudaye
Har Laash Uthayi Hai Ise Kaun Uthaye

Abbas Ke Marne Se Kamar Toot Chuki Hai
Akbar Ke Bichhad Jaane Se Beenai Gai Hai
In Ankhon Main Besheer Ki Turbat Bhi Bani Hai
Hai Aakhri Lamhaat Ajal Sar Pe Khari Hai

Kuch Dair Main Khanjar Mere Bache Pe Chalega
Afsos Dame Zibha Bhi Pani Na Milega
Khanjar Ke Kai Zarbo Se Sar Iska Katega
Ghayur Hai Beta Mera Hargiz Na Kahega

Baqi Hai Abhi Jaan Tera Bhai Hai Zinda
Ghode Kahin Dauda Na De Bedard Hai Aada
Haye Haye Koi Bekas Ko Nahi Puchne Wala
Bhai Se Mohabbat Hai Tu Maqtal Main Chali Aa

Ye Bain Main Sunti Hon Tere Baba Ali Se
Hojaenge Pamaal Abhi Lashe Sabhi Ke
Kuch Marhale Baqi Hai Ghareeb ul Watani Ke
Jaa Haal Zara Dekh Le Is Pyase Akhi Ke

Aajiz Hai Yaha Aake Tu Har Ek Sukhanwar
Farhaan Anees E Shahe Wala Hoke Mazhar
Likh Paya Nahi Aaj Talak Koi Wo Manzar
Jab Kehti Thi Zainab Se Meri Bibi Tarapkar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *