Jisdam Hussainؑ Zain Se Aaye Zameen Par
Aankhon Mein Khaak Aur Badan Tha Lahoo Mein Tar
Jab Sar Uthaake Dekha Tu Dhundla Gayi Nazar
Dekha Koi Zaeefa Chali Aati Hai Idhar
Amma Ki Khushboo Aayi Tu Uthne Lage Hussainؑ
Tazeem Jab Na Ho Saki Kehne Lage Hussainؑ
Zakhm Itne Hain Ke Utha Nahi Jata Amma
Mil Ke No Laakh Ne Itna Mujhe Mara Amma
Is Se Pehle Ke Meri Beti Ye Dekhe Aakar
Shimar Se Keh Do Utar Jaye Mere Seene Se
Dekho Soti Hai Yahan Meri Sakinaؑ Amma
Haye Pardes Mein Ye Waqt Hai Kaisa Hum Par
Dekho Tum Paani Pilati Thi Jise Uth Uth Kar
Aaj Aaghosh Mein Mar Jayega Pyasa Amma
Main Ne Dekha Hai Use Chehre Ke Bal Girte Hue
Kat Chuke HaathMera Bhai Uthega Kaise
De Ke Aawaaz Use Tum Na Bulaana Amma
Gurz Talwar O Tabar Neze O Bhaala Maara
Jisko Kuch Bhi Na Mila Usne Tamaacha Maara
Mujh Pe Barsa Diya Jo Haath Mein Aaya Amma
Usne Dekha Hai Abhi Sirf Mera Zakhmi Badan
Larkharate Hue Girti Hai Sambhalti Hai Bahan
Kaise Dekhe Gi Bahan Bhai Ka Marna Amma
Haye Shabbirؑ Ne Ye Maa Se Kaha Ro Ro Kar
Chalne Wala Hai Meri Sookhi Ragon Par Khanjar
Meri Gardan Pe Abhi Haath Na Rakhna Amma
Kitne Armaan Mere Dil Mein Hi Dam Toar Gaye
Dekho Tanha Ali Akbarؑ Bhi Humein Chhod Gaye
Chhed Gaya Barchhi Se Akbarؑ Ka Kaleja Amma
Aakhri Waar Hua Kat Gaya Shabbirؑ Ka Sar
Maa Tarapti Rahi Zeeshan O Raza Ro Ro Kar
Goonjta Reh Gaya Maqtal Main Ye Noha Amma
