Sham Sa Loat Ke Aye Hai Madine Wale
Veeran Gharon Main Qaid Sa Yun Wapsi Hui
Koi Diya Jala Na Kahin Roshni Hui
Ye Haal Hai Ke Betiyan Pehchanti Nahin
Zainabؑ Khud Apne Ghar Mein Bhi Ab Ajnabi Hui
Zainabؑ Ke Bazon Pe Yun Neela Nishan Hain
Ya Phir Rasan Hai Hathon Main Ab Tak Basi Hui
Akbarؑ Shaheed Ho Gaye Lekin Wo Intezaar
Sughraؑ Hai Ek Wada Se Ab Tak Bandhi Hui
Mahmil Tu Ja Ke Laut Bhi Aaye Hain Shaam Se
Ek Maa Ki Zindagi Hai Wahin Par Ruki Hui
Naize Se Jo Utari Thi Shimr E Laeen Ne
Zainabؑ Ke Khoon Se Hai Wo Chaadar Bhari Hui
Nannhi Si Balion Pe Lahoo Se Likhi Hai Wo
Jo Baat Thi Sakinaؑ Ke Rukh Par Likhi Hui
Akbarؑ Saron Pe Karb O Bala Ki Jo Khaak Thi
Us Par Hai Qaid Khana Ki Mitti Jami Hui
