Wo Bakamal Hai - ZIARAT AND Noha Lyrics

Wo Bakamal Hai

Wo Bakamal Hai Wo Bemisal Hai
Jo Phool Fatima Ka Hai Wo Lazawal Hai
Awalo Na Muhammad Ausato Na Muhammad
Aakhiro Na Muhammad Wa Kullo Na Muhammad

Pale Hain Khoon Se Abu Talib Ne Chand Phool
Ek In Main Hai Imam Tu Hai Dusra Rasool
Ek Asal Deen Dusra Hai Deen Ka Asool
Jo Inka Hai Khayal Khuda Ka Khayal Hai

Awal Imam Ali Hai Imamat Ka Tajdar
Imran Ke Chaman Main Jo Laya Nai Bahar
Jisko Ata Ki Khaliq E Akber Ne Zulfiqar
Jiska Wajood Deen e Muhammad Ki Dhaal Hai

Bad E Ali Hassan Hai Risalat Ka Aina
Tora Hai Jis Ne Takht O Hukumat Ka Aina
Hai Ho Baho Rasool Ki Seerat Ka Aina
Kata Qalam Se Jisne Burai Ka Jal Hai

Paida Hue Hussain Alaihe Salam Jab
Jibreel Dar Pe Aye Salami Ko Ba Adab
Bole Payam Deta Hai Dono Jahan Ka Rab
Ham Ko Pasand Dil Se Ye Zahra Ka Lal Hai

Ek Phool Fatima Ka Ibadat Ka Zaib O Zain
Zain ul Iba Wo Abid O Sajid Dil e Hussain
Sajda Ko Jiske Payar Kare Rab e Mashraqain
Khutbon Main Jiske Tamkanat Zuljalal Hai

Baqir Bhi Ek Phool Hai Sehn e Batool Ka
Jiski Ragon Main Khoon Ali Aur Rasool Ka
Mushkl Kush Jahan Main Wo Har Dil Malool Ka
Nasl e Abu Jehal Ka Issi Se Qatal Hai

Ek Sadiq Ul Khayal Hai Wo Sadiq Ul Wajood
Jafer Hai Jaferi Ke Shajar Ki Hai Wo Namood
Maqbool Bargah E Khuda Jiske Hain Sajood
Iski Fakar Ke Tabe Muhammad Ki Aal Hai

Ek Lal Inka Moosi e Kazim Falak Asas
Jiske Badan Pe Jad Ki Shareat Ka Hai Libas
Ilm E Nabbi Ki Sari Fizza Iskey Aas Paas
Jad Ki Tarha Se Deen E Nabi Ki Wo Dhal Hai

Mashhad Main Ek Lal Ka Darushifa Bhi Hai
Rab Ki Reza Hai Iski Reza Wo Raza Bhi Hai
Is Dar Se Jisne Manga Hai Jo Kuch Mila Bhi Hai
Roza Se Jiske Hota Nahi Rad Sawal Hai

Taqwa Main Ek Phool Taqi Ta Had E Khiyal
La Raib Wo Zamane Main Be Misl O Be Missal
Khush Fikr O Khush Mizaj Wa Khush Bakht Be Missal
Ajdaad Ki Kitab Ka Harf E Kamal Hai

Ab Hai Naqeeb E Haq O Sadaqat Naqi Ki Bat
Ye Bat Hai Nabi Ki Yehi Hai Ali Ki Bat
Burj E Dehan Main Aa Hi Gai Roshani Ki Bat
Iske Amal Se Kufr Ke Sheesha Main Bal Hai

Askar Mizaj Lashkar E Eemaan Ka Lashkari
Qamat Main Mustafa Hai Jo Seerat Main Hai Ali
Iske Pisar Ke Dam Se Qayamat Ruki Hui
Khamoshion Main Jiske Bala Ka Jalal Hai

Tazeem Ka Hai Waqt Ab Aya Hai Uska Nam
Qaim Hai Jiske Dam Se Zamane Ka Kul Nizam
Nam Aye Jiska Lab Pe Tu Wajib Hua Salam
Ab Qatil E Hussain Ka Bachna Muhal Hai

Rehan Wasf E Aal E Muhammad Bayan Ho
Midhat Saraai Ke Liye Ek Noha Khwan Ho
Sarwar Ka Jo Nadeem Ho Ahl E Zuban Ho
Is Zikar Ki Asaas Main Rab Ka Jamal Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *