Mohammad
Ya Mohammad Mustafa Salle Ala Salle Ala
Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
Shifaat Ki Kashti Ka Jo Na Khuda Hai
Wo Bas Mustafa Hai
Nabi Aur Bhi Aaye Behre Hidayat
Mila Hai Magar Jis Ko Haq e Shafaat
Laqab Jis Nabi Ka Habib e Khuda Hai
Do Aalam Ke Hajat Rawa Jisne Paale
Kale Kamli Mein Jis Ke Ujalay
Jo Badr Ud Duja Hai Jo Shams uz Zuha Hai
Chale Jis Ke Chalne Se Bade Bahari
Malakooti Raft Raft Hai Jis Ki Sawari
Safar Jisne Arsh e Bari Ka Kiya Hai
Muhibo Ki Bakhshish Ki Jo Baat Karne
Gaya Tha Khuda Se Mulaqat Karne
Wo Jis Ko Khuda Ka Pata Bhi Pata Hai
Sar e Arsh Likha Hai Jo Naam e Naami
Jise Chand Suraj Ne Di Hai Salaami
Falak Jis Ke Naqsh e Qadam Choomta Hai
Mili Fatima Jaisi Beti Khuda Se
Wo Jis Ke Hussain O Hassan Hain Nawasa
Ali Jiska Damad Mushkil Kusha Hai
Ujale Hidayat Ke Jo Baanta Hai
Lahad Ke Andheron Ko Jo Chaanta Hai
Bashar Ko Diya Jis Ne Aisa Diya Hai
Khudayi Jise Mohtaram Janti Hai
Jise Har Barayi Bara Manti Hai
Jo Kaba Ka Kaba Hai Qibla Numa Hai
Hai Parwana Jannat Ka Jis Ki Ijaazat
Nasab Ki Tahaarat Hai Jis Ki Mohabbat
Ragoon Mein Machal Kar Lahu Bolta Hai
Kiye Jis Ne Sehrab Insaan Pyasa
Milaya Hai Bande Ko Jis Ne Khuda Se
Karam He Karam Jo Ata Hi Ata Hai
Jo Hai Rehmat e Haq Jo Hai Noor e Pekar
Hai Jaan e Do Aalam Jo Farhan O Gohar
Jo Poocho Tu Quran Bhi Bolta Hai
