Wo Fatima Hoon Main

Salam jisko alaihe-salam karte hain
Wo Fatima hoon main
Jhuk ke Hassnain bhi jis se kalam karte hain
Wo Fatima hoon main

Mujhe hi Razia Marzia Siddiqa kehte hain
Mujhe hi Tahira Umm-e-Abiha kehte hain
Wo jiska Ahmad bhi ehtram karte hain

Bana ke Surah-e-Kausar mujhe utara gaya
Mujhe Hijab-e-Muzammil se hai pukara gaya
Tazeem jis ki barah Imam karte hain

Khuda ne aise jahan mein mujhe barayi di
Quran ne ayaton se meri hi gawahi di
Wo jis ke ghar se Arsh-e-Taam karte hain

Nabi ki beti hoon darbar mein khada na karo
Hijab-e-Kibriya hoon mujh ko yun ruswa na karo
Wo jis ke dar pe farishte qayyam karte hain

Yun mere ghar ko Musalmano tum jalao na
Aur mere pehlu pe darwaze ko girao na
Darood jis pe sab khaas-o-aam padhte hain

Dehar mein aise mujhe tum agar rulao ge
Hashar mein kaise shifaat Nabi se pao ge
Hisab-e-Mehshar Khuda jis ke naam karte hain

Jo khaali looti thi darbar se zaeef ho kar
Ali Imam se Yasir thi kehti ro ro kar
Ke jis ke hone se saare nizam chalte hain

Poet By: Yasir Abbas Yasir
Soz: Sajad Hussain
Noha Khuwan: Kazmi Brothers

Leave a Comment

error: Content is protected !!