Wo Mola Raza Hai

Wo Jis Ki Raza Khaliq E Akbar Ki Raza Hai
Wo Mola Raza Mola Raza Mola Raza Hai
Jannat Ki Sanad Jis Ki Ziyarat Ka Sila Hai

Wo Aalim E Imkaan Main Naazir Ki Nazar Hai
Us Ko Mere Aamal Ki Niyat Ki Khabar Hai
Hone Se Bhi Pehle Jise Hone Ka Pata Hai

Dil Musa E Kazim Se Yeh Kehta Hai Adab Se
Hai Pyar Mujhy Aap Ki Aulad Mein Sab Sa
Lekin Teri Aulad Mein Jo Mola Raza Hai

Shabbar Bhi Hai Shabbir Bhi Sajjad Bhi Paham
Baqir Yehi Jafar Yehi Yeh Musa E Kazim
Jo Satwan Zahra Ko Pisar Haq Sa Mila Hai

Laya Wo Wilayat Ki Fiza Toos Mein Hamrah
Tab Goonja Fizaon Mein Ali Un Wali Ullah
In Ajmi Zubanon Ko Ali Jis Ki Ata Hai

Wo Aya Madad Ke Liye Jab Bhi Ye Pukara
Sultan E Khurasan Hai Bas Ghaos Hamara
Jo Ab Bhi Mughees e Saf e Arbab E Aza Hai

Konain Mein Sab Naimaten Karta Hai Yeh Taqseem
Aur Loah Ke Likha Mein Bhi Kar Sakta Hai Tarmeem
Jo Kaar E Khuda Karte Huye Abd E Khuda Hai

Dozakh Kisa Aur Dena Hai Dada Ka Kisa Ishq
Aulad Kisa Milni Hai Milna Hai Kisa Rizq
Taqdeer Ki Takhti Pe Ye Sab Jis Ne Likha Hai

Ya Fatima Masooma Ya Kareema Ya
Bibi Ne Kaha Mang Le Tohfa Koi Hum Saa
Maine Kaha Bibi Mujha Khaliq Sa Mila Diya
Jo Tohfa Mujha Qom Ki Kareema Ne Diya Hai

Hai Tujh Sa Dua Bas Ye Meri Qadir O Rehman
Mola Ke Muhibon Ki Hon Sab Mushkilen Aasan
Wo Jis Ke Tasadduq Ye Mera Harf e  Dua Hai

Kya Mir Hasan Hai Teri Aoqat O Haqeeqat
De Kar Teri Naslon Mein Ye Midhat Ye Tilawat
Wo Jis Ne Tujha Laiq e Tazeem Kiya Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *