Mola Mola Mola Mola
Sab Thaath Para Reh Jaye Ga Jab Ane Wala Aye Ga
Ye Dharti Sona Ugle Gi Ye Charkh Gohar Barsaye Ga
Kaabe Ki Chat Par Ghazi Ka Ik Roz Alam Lehraye Ga
Woh Aa Raha Hai Ke Jis Ke Agay Kisi Ka Kehna Nahi Chale Ga
Baghair E Farmaan E Ibn E Zahra Nizaam E Duniya Nahi Chale Ga
Woh Aa Raha Hai Ke Jis Ke Agay Kisi Ka Kehna Nahi Chale Ga
Kahin Guzarish Nahi Chale Gi
Kisi Ki Saazish Nahi Chale Gi
Kare Ga Aa Kar Woh Adal Qayam
Koi Sifaarish Nahi Chale Gi
Chalaye Ga Wo Ali Ka Sikka
Kisi Ka Sikka Nahi Chale Ga
Alag Na Hoga Koi Kisi Se
Namaz Roze Bhi Aik Honge
Imam Ayen Ge Lout Kar Jab
Har Ik Muazzin Ba Ghor Sunle
Azaan Ho Gi Ghadeer Waali
Ye Kam Zyada Nahi Chale Ga
Anaa Ke Jazbon Mein Behne Walon
Hawa E Mazhab Mein Rehne Walon
Koi Kare Ga Halal Tum Ko
Haraam Matam Ko Kehne Walon
Dukaan Fatwon Ki Band Hogi
Kisi Ka Fatwa Nahi Chale Ga
Likha Hua Hai Hadees Mein Bhi
Zameen Nijasat Se Dur Ho Gi
Chale Gi Shamsheer Murtaza Ki
Zaban O Millat Ki Qaid Kaisi
Ali Ka Munkir Ho Chahe Jo Bhi
Zameen Pe Zinda Nahi Chale Ga
Marein Ge Sab Maslihat Ke Aadi
Kahan Pe Jayein Ge Ye Fasaadi
Chupaein Ge Kis Tarhan Se Chehre
Haram Se Ho Gi Ye Jab Manadi
Meri Hukumat Mein Is Zameen Par
Udu E Zahra Nahi Chale Ga
Fasaadi Sare Bhare Ge Aahein
Sama Ye Dekhein Gi Sab Nigahein
Nizaam Tabdeel Hoga Sara
Ye Masjidein Ho Ya Bargahein
Woh Khud Chalaein Ge Har Idara
Ye Tera Mera Nahi Chale Ga
Ye Farsh E Matam Hai Yaad Rakhna
Kabhi Siyasat Yahan Na Karna
Amanat E Syeda Hain Aansu
Yahan Khayant Se Khud He Bachna
Kahein Na Mehshar Ke Roz Zahra
Tumhara Pursa Nahi Chale Ga
Khuda E Wahid Ka Faisla Hai
Ke Noor Kaamil Zaroor Hoga
Hazar Fitne Uthaye Duniya
Wali Ka Lazim Zahoor Hoga
Baghair Imam E Zamana Akbar
Kabhi Zamana Nahi Chale Ga
