Ya Abbas Ya Abbas
Ya Abalfazl Al Abbas
Ahl E Aza Ka Tum Ho Bharosa Toote Dilon Ki Aas
Jo Manga Hai Tum Se Manga Tumhi Dete Ho Ghazi
Duniya Samje Ya Na Samje Tum Tou Samajte Ho Ghazi
Koi Nahi Hai Mujh Ko Yaqeen Hai Tum Jaisa Hasas
Bhai Ke Chahre Se Pareshani Ko Tu Ne Dur Kiya
Ahl E Muwadat Ko Mushkil Ke Hal Ka Ye Dastoor Diya
Kashif E Qarbi Ikshif Qarbi Aik Wazifa Khas
Be Saharo Ke Liye Tu Hai Sahara Abbas
Tu Hai Mazloomo Ki Qismat Ka Sitara Abbas
Sari Duniya Main Kahin Jab Bhi Koi Zulm Huwa
Tujh Ko Masoomo Ne Ro Ro Ke Pukara Abbas
Hoti Hai Jab Chashm E Inayat Dil Ki Kali Phir Khilti Hai
Rozi Roti Izat Azmat Aap Ke Dar Se Milti Hai
Saniye Haider Likh Do Muqadar Le Ke Klam Qirtas
Lashkar E Ada Ki Zad Par Phir Shahzadi Ka Roza Hai
Jan Se Jo Pyari Hai Tumhe Phir Se Wo Sakina Tanha Hai
Mehdi E Deen Ko Izn Ata Ho Mazloomo Ki Aas
Gham Gusaron Ko Aziyat Se Bachane Wale
Be Khata Sare Aaseron Ko Churane Wale
Har Azadar E Hussain Ibn E Ali Par Ho Karam
Aye Katte Hathon Se Taqdeer Banane Wale
Majlis Matam Karne Wale Apni Muradein Laye Hain
Hathon Ko Phailaye Huwe Yun Dar Pe Tumhare Aaye Hain
Jis Ko Khuda Se Manga Ali Ne Tum Ho Wo Alfaaz
Rehte Hain Masoom Jahan Par Hum Bhi Wahan Par Jayein Ge
Kab Se Hain Pardais Main Mola Lot Ke Kab Ghar Jayein Ge
Sher E Dilawar Saqqi E Kosar Dil Ki Bujha Do Pyaas
Fakhr Se Dekhte Hain Shah E Madina Ghazi
Ap Dono Ki Mohabbat Ka Karina Ghazi
Tere Parcham Se Bandhi Mashq Ko Dekha Tou Laga
Tujh Se Lipti Hai Teri Pyasi Sakina Ghazi
Pyase Bache Tum Se He Umeed Lagaye Bethe Thy
Mola Ko Jab Aate Dekha Thame Alam Ke Kuch Tukre
Tishna Labon Ki Masoomo Ki Toot Gayi Thi Aas
Gyaran Muharram Ko Maqtal Se Bint E Ali Jab Guzri Thi
Bazo Burida Dekh Ke Tere Aahain Bhar Kar Kehti Thi
Uth Gaya Bhaiya Baap Ka Saya Aaj Huwa Ehsas
Aap Ka Parcham Nasb Huwa Hai Jis Jis Bhi Ghar Par Ghazi
Mir Takalum Ki Hai Dua Abad Rahe Wo Ghar Ghazi
Apne Alam Ka Saya Rakhna Haider Ke Akaas
