Haye Zehra Haye Zehra Haye Zahra
Zehra Ki Ab Jahan Se Rukhsat Hai Ya Ali
Tum Se Yehi Humari Wasiyat Hai Ya Ali
Ya Ali Meri Mayyat Per Mera Haq Khaane Waale Na Aayein
Darbar Mein Teri Zehra Ko Jhutlaane Waale Na Aayein
Ya Ali Mere Baba Har Lamha Jis Dar Ko Chuma Karte Thy
Us Dar Ko Jalane Wale Aur Jalwane Wale Na Aayein
Ya Ali Meri Hasrat Thi Tum Ko Baba Ke Mimbar Par Dekhun
Haye Teri Jaga Us Mimbar Par Ajane Waale Na Aayein
Ya Ali Sab Ahle Saqeefa Ko Paighaam Mera Ye De Dena
Baba Ke Pak Janaze Par Na Aane Wale Naa Aayein
Ya Ali Pehlu Bhi Shikasta Hai Baalon Mein Safedi Chaayi Hai
Zehra Ko Teri Is Haalat Mein Pohunchane Wale Na Aayein
Ya Ali Mere Mohsin Par Girya Haq Tha Mera Jo Cheen Liya
Ya Ali Mujhe Marte Marte Bhi Tarpaaaane Wale Na Aayein
Ya Ali Zainab Ki Ankhon Mein Mujhe Khauf Dikhayi Deta Hai
Gardan Mein Teri Haye Tang Rasan Pehnaane Wale Naa Aayein
Ya Ali Meri Mayyat Ko Chup Kar Tareeki Mein Dafna Dena
Rone Ke Liye Mujh Par Mujh Ko Rulwane Wale Na Aayein
Salman Mein Bibi Ka Nauha Mesum Ke Liye Kaise Likhun
Jab Tak Jannat Mein Le Ja Kar Likhwane Wale Naa Aayein
I love your lyrics so much 😍