Maqtal Mein Gir Raha Hai Sambhalo Hussain Ko
Ya Fatima Rida Main Chupa Lo Hussain Ko
Paiwast Hai Ghareeb Ke Pehlu Mein Barchiyan
Tumko Bhi Uthne Deti Nahi Tooti Pasliyan
Lekar Ali Ka Naam Utha Lo Hussain Ko
Deewar O Dar Ke Beech Jo Armaan Reh Gaye
Rakhi Hui Thi Dil Mein Jo Mohsin Ke Waste
Wo Loriyan Bhi Aaj Suna Lo Hussain Ko
Sola Pehere Ki Pyaas Hai Aur Hai Labo Pe Dumm
Dekar Ghareeb Bete Ko Abbas Ki Qasam
Paani Agar Mile Tu Pila Lo Hussain Ko
Sheh Ki Ghareeb Beti Ke Armaan Ki Tarha
Godi Mein Leke Teesri Shabaan Ki Tarha
Kuch Dair Ho Sake Tu Sula Lo Hussain Ko
Haider Tarap Rahe Hai Payambar Hai Bekarar
Tum Kaise Sun Rahi Ho Sadaein Ye Baar Baar
Ek Shoar Hai Zameen Par Gira Lo Hussain Ko
Ache Nahi Irade Yazidi Sipah Ke
Paon Nikal Rahe Hai Rakabo Se Shah Ke
Ghazi Nahi Hai Tum He Sambhalo Hussain Ko
Zainab Sada Ye Deti Hai Aye Bekarar Maa
Zakhmo Ko Mil ke Baandhegi Haider Ki Betiyan
Khaime Mein Ek Baar Bulalo Hussain Ko
Rone Lagi Aye Mir Takallum Wo Ghum Zada
Phailake Apne Haath Jo Shabbir Ne Kaha
Haye Godi Main Thori Dair Sulalo Hussain Ko
