Ya Rab gareeb Maa pe sitam is qadar na ho
Zahra ke neelay rukh pe Hassan ki nazar na ho
Darwazay par se log guzarte hain baar baar
Dekhay koi ke Zahra kahin zair-e-dar na ho
Darbar kis ko kehte hain, peshi hai kis ka naam
Maa chahti hai beti ko is ki khabar na ho
Pathar rakhe gaye sar-e-taboot is liye
Mayyat ka wazan kya hai kisi ko khabar na ho
Chalees qabrein khodi gayi thi Batool ki
Haider yeh chahte the sitam qabar par na ho
Akbar thi Syedon pe yateemi ki aisi raat
Aisi taweel raat ke jis ki sehar na ho
Shaair: Hasnain Akbar
Soz: Waheed-ul-Hasan Kamalvi
Matami Sangat: Anjuman Gul Dasta Jafriya Lahore
