Ya Zehra By Irfan Haider

Ya Zehra Ya Zehra
Aye Meri Bibi
Tere Dar Pe Istegasa Hai
Tera Mamnoon Meri Shehzadi Ye Jahan Saara Hai

Tu Humein Hifz Aur Aman Dede
Apni Chadar Ka Sayebaan Dede
Teri Qudrat Mein Kya Nahi Bibi
Tu Jise Chahe Do Jahan Dede

Aye Meri Bibi
Ansuwon Mein Dua Mangi Hai
Teri Tasbeeh He Parh Ke Dil Ne Tujhe Pukara Hai

Qarz Makrooz Ka Ada Karde
Muflison Ka Naseeb Wan Karde
Jinki Godi Bhari Nhi Bibi
Unko Aulad Tu Ata Karde

Aye Meri Bibi
Bas Tu He Murad Deti Hai
Tere Choukhat Dar E Ilahi Ka Istaara Hai

Farsh E Majlis Pe Aur Musalle Par
Har Jawan Keh Raha Hai Ro Ro Kar
Hum Rahe Na Rahe Magar Bibi
Ta Qayamat Rahe Ghum E Sarwar

Aye Meri Bibi
Tere Bachon Ka Ghum Manate Hain
Apni Aulad Se Kahin Bar Ke Ghum Ye Pyara Hai

In Shaheedon Ka Ye Muqadar Hai
Sayeban Inka Teri Chadar Hai
Inke Seeno Pe Aye Meri Bibi
Daag E Matam Nishan E Haider Hai

Aye Meri Bibi
Khuld Main Shaheed Jab Jaye
Teri Awaz Aaye Ane Do Ye Humara Hai

Khoon Ban Kar Ragon Main Hai Noha
Meri Naslon Main Bhi Rahe Noha
Jaise Maine Parha Hai Bachpan Se
Mera Nad E Ali Parhe Noha

Aye Meri Bibi
Is Ke Dil Main Wilayat E Haider
Mere Maa Baap Ki Taharat Ka Ik Ishara Hai

Tere Dil Per Jo Hain Sitam Toote
Zindagi Main Jo Tu Ne Ghum Dekhe
Asman O Zameen Pe Gar Hote
Misl E Shab Wo Siyah Ho Jate

Aye Meri Bibi
Dekh Kar Teri Musibat Ko
Sare Aalam Ka Dil Masaib Se Para Para Hai

Tujh Ko Ummat Ne Yun Sataya Hai
Marg E Mohsin Pe Bhi Rulaya Hai
Tujh Ko Baba Ke Baad Ummat Ne
Haaye Darbar Mein Bulaya Hai

Aye Meri Bibi
Kitne Sadme Uthaye Hain Tu Ne
Jite Jee Tujhko Meri Shehzadi Ghum Ne Mara Hai

Hai Yahi Mazhar Abidi Ki Dua
Tere Bacho Ka Ghum Rahe Zinda
Saath Irfan Ke Rahe Jaari
Tere Sadqe Mein Karwan E Aza

Aye Meri Bibi
Tere Dar Pe Sar Jhukate Hain
Har Hussaini Ka Tere Tukro Pe He Guzara Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!