Yateemi Hai Sakina Hai

Yateemi Hai Sakina Hai
Bara Zalim Zamana Hai

Laeen Isko Darate Hai Kabhi Durre Lagate Hai
Sitamgar Tez Naaqo Se Ise Neeche Girate Hai
Sakina Jab Bhi Roti Hai Tamache Bhi Lagate Hai
Meri Bachi Ko Ayy Zainab Laeeno Se Bachana Hai

Kahan Ye Phool Si Bacchi Kahan Seh Roz Ke Faaqe
Abhi Dekhe Hai Khud Isne Chacha Aur Bhai Ke Laashe
Bade Sadme Uthaye Hai Kayi Raato Ki Jaagi Hai
Hamare Baad Seene Par Tumhain Isko Sulana Hai

Kaleja Thaam Lo Zainab Ye Manzar Khoo’n Rulata Hai
Mera Sajjad Ghairat Se Nigaaho Ko Jhukata Hai
Ke Zalim Ab Sakina Ko Kanizi Mein Bulata Hai
Behen Na Paak Nazro Se Sakina Ko Chupana Hai

Yazeed E Nahis Kehta Hai Meri Baali Sakina Se
Agar Hai Pyaar Baba Ko Tu Kehdo Sar Se Khud Aaye
Hai Waqt E Imtehan Zainab Meri Bachhi Na Mar Jaye
Humare Sar Ko Khud Uthkar Ab Uske Paas Jaana Hai

Gaye Qabr e Sakina Par Juhi Farhan Aur Mazhar
Bohot Roye Kiya Matam Jo Dekha Shaam Ka Manzar
Unhi Logo Ke Narghe Main Ghiri Hai Aaj Bhi Muztar
Wo He Tanhaiyan Bhi Hai Andhera Qaid Khana Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *