Ye Bali Sakina Hai

Din Raat Sadaa Jo Aati Hai
Har Dil Ko Jo Tarpati Hai
Ye Bali Sakina Hai
Zindan Mein Jo Roti Hai Baba Ko Bulati Hai

Naazo Se Pali Hai Yeh Bachhi Sab Uske Naaz Uthate The
Kabhi Maa Kabhi Baba Bhai Chacha Sab Ispe Wari Jate The
Kabhi Ye Godi Kabhi Wo Godi Masooma Ko Yad Aati Hai

Baba Se Bicharh Kar Beti Ne Kya Kya Na Masaib Dekhe Hai
Pyasi Bhi Rahi Qaidi Bhi Bani  Zalim Se Tamache Khaye Hai
Jo Seena E Shah Pe Soti Thi Ab Wo He Khaak Pe Soti Hai

Zindan Ke Darr Se Jo Guzre Bibi Har Ek Se Kehti Hai
Baba Se Milo Tu Keh Dena Tumhe Yad Sakina Karti Hai
Tum Paas Chale Aao Baba Ro Ro Ke Jo Chillati Hai

Ashoor Se Lekar Zindaan Tak Har Zulm Use Yaad Aata Hai
Abbas Akbar Qasim Asghar Baba Ka Ghum Tarpata Hai
Zindaan Main Matam Kar Kar Ke Jo Sab Ka Soog Manati Hai

Sajjad Se Ro Ro Kehti Hai Kab Milne Baba Aaenge
Achhe Bhaiya Ye Batla Do Kya Hum Bhi Kabhi Ghar Jaenge
Kabhi Bhai Se Kabhi Amma Se Har Waqt Sawal Jo Karti Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *