Yeh Gurbat e Ali

Pehlu bhi shikasta hai aur qabr bhi tooti hai
Zahra ki ghareebi hi haider ki ghareebi hai

Ye ghurbat e ali hai
Haq mangne jo zahra darbar main gayi hai

Awaaz aa rahi hai main bint e mustafa hun
Baba ke kalma goyo main hi to fatima hun
Pehchanne se duniya inkar kar rahi hai

sun kar salam e haider koi nahi hai rukta
Wajib nahi samajhta koi jawab dena
afsos fatima bhi ye baat janti hai

haye masjid main sar jhukaye maula khare hue hain
Hakim ki tohmaton ko chup chap sun rahe hain
Siddiqa sab ke Aagy jhutlayi ja rahi hai

ek kooche main pohunch kar dekha hai mujtaba ne
Zalim ne zarb maari kaise khuda hi jane
Binte nabi zameen par ghash kha ke gir pari hai

Mazloom e karbala ko yaad aa gayi sakina
Beti pe mustafa ki qunfuz ka hath uttha
Pehlu main murtaza ki talwar ro rahi hai

Pehlu bhi hai shikasta hathon pe bhi hain chaale
Hai apki amanat ab apke hawale
ye keh ke murtaza ne mayyat nabi ko di hai

Kafi hai bs ye fiqra rone ko zindagi bhar
Hathon ko apne aksar kehte the mal ke haider
Khyber shikan ki zauja ghut ghut ke mar gayi hai

kaise likhe Takallum ghurbat ali wali ki
Zauja sahabiyon ke darbar main gayi thi
Beti sharabiyon ke darbar main gayi hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!