Zaeefa Kon Ho Tum

Safar Main Naiza Jab Zalim Ne Mara
Giri Naqe Se Ghash Kha Kar Sakina
Khuli Jab Aankh Tu Manzar Ye Dekha
Hai Goadi Main Liye Koi Zaeefa

Tha Chehre Par Naqab Uss Ke
Laga Tha Khoon Hathon Pe
Na Jane Kya Khayaal Aaya
Sakina Ne Kaha Ro Ke

Suno Khamosh Kyun Ho Tum Hamari Jan Jaati Hai
Tumhare Pass Se Baba Ki Mujh Ko Khushboo Aati Hai
Sakina Ko Batao Na Zaeefa Kon Ho Tum

Sakina Par Bohat Din Baad Aisa Waqt Aaya Hai
Kisi Ne Pyaar Se Aaghosh Main Apni Sulaya Hai
Gaye Hain Jab Se Baba Chor Ke Sab Ne Rulaya Hai
Mere Nazuk Se Rukhsaron Pe Bhari Hath Uthaya Hai
Magar Tum Ne Mere Galon Pe Jab Se Hath Phaira Hai
Kami Hai Dard Main Tum Se Koi Tu Rishta Mera Hai

Kabhi Mujh Ko Girane Ke Liye Mara Hai Durre Se
Kabhi Rahwar Doraya Kabhi Mara Hai Naize Se
Usse Maloom Tha Mar Jaungi Taizi Se Girne Se
Laeen Ne Jaan Kar Mujh Ko Giraya Chalte Naqe Se
Agar Thama Nahi Hota Mujha Tum Ne Yahan Bibi
Meri Dadi Ki Tarhan Toot Jatein Pasliyan Meri

Hamesha Se Mera Bistar Mere Baba Ka Seena Tha
Magar Ek Din Phuphi Ke Sath Ye Maqtal Main Dekha Tha
Mere Baba Ka Qatil Bhi Usi Seene Pe Baitha Tha
Guloo E Khushk Par Khanjar Se Gin Kar Waar Karta Tha
Laga Hai Jo Tumhare Hath Pe Wo Khoon Kis Ka Hai
Hain Zakhmi Ungliyaan Jaise Kisi Khanjar Ko Roka Hai

Mere Cheena Haui Gohar Taziyane Bhi Lagaye Hai
Gala Rasi Mein Bandha Be Rida Bazar Laye Hain
Sar E Abbas Ke Aage Tamachain Maine Khaye Hain
Safedi Aa Gayi Baalon Mein Itne Gham Uthaye Hain
Zaeefon Ki Tarha Sa Ab Sahara Le Ke Chalti Hon
Ke Ab Main Char Barsoon Main Tumhare Jesi Lagti Hon

Main Sydaani Hon Or Is Baat Par Main Fakhar Karti Hon
Magar Ek Zakham Aaisa Hai Main Jis Se Roz Marti Hon
Mujhe Dete Hain Sab Sadqa Jahan Se Bhi Guzarti Hon
Nazar Jab Shimr Aata Hai Tu Chhup Jaati Hoon Darti Hon
Jo Burqa Tum Ne Pehna Hai Ye Syed Zadiyon Ka Hai
Batao Kya Yahan Tum Ko Meri Dadi Ne Bheja Hai

Yahan Koi Nahi Aayega Hai Charon Taraf Sehra
Naqab Apna Hatao Dekh Loon Ek Baar Mein Chehra
Na Jaane Kyun Mujhe Yaad Aati Hai Dadi Meri Zehra
Meri Tarah Tumhare Rukh Pe Bhi Kya Zakham Hai Gehra
Mere Chehre Pe Zalim Ki Angothi Ke Nishanon Ka
Zaeefa Wasta Tum Ko Mere In Zakhmi Kanon Ka

Ye Sunte He Zaeefa Ne Kaha Main Teri Dadi Hon
Tere Baba Ka Khoon Hathon Pe Apne Sath Layi Hon
Tujhe Rahwar Se Girte Huwe Na Dekh Payi Hoon
Jabhi Tujh Ko Bachane Karbala Se Sham Aayi Hoon
Kaha Zeeshan Or Farhan Bachi Se Ye Zehra Ne
Naqab Apna Hata Dun Gi Na Ab Tum Puchhna Hum Se

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *