Zahoor Ka Waqt Agaya Hai 

Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Imam Se Lou Lagaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Haram Pe Nazrein Jamaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Charagh E Ulfat Jalaye Rakhna

Hai Inteqam E Hussain Baqi Wo Ane Wala Hisaab Lega
Aqeeda Apna Durust Rakhna Jo Unki Nusrat Ki Hai Tamanna
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Amal Ko Bhi Aazmaye Rakhna

Na Neend Aye Na Oongh Aye Rakho Har Ek Par Nazar Jamaye
Dil O Nazar Se Ke Samrah Se Na Jaane Kis Raaste Se Aaye
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Har Aik Rasta Sajaye Rakhna

Na Hub E Duniya Se Kuch Ilaqa Na Ghair Se Raah O Rasm Rakhna
Tumhari Daulat Hai Ilm O Taqwa Kare Ga Dajjaal Us Pe Hamla
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Tum Apni Poonji Bachaye Rakhna

Yahin Kahin Aas Paas Hoga Woh Ane Wala Tha Aa Chuka Hai
Hawaari Eissa Ke Saath Honge Mawaali Maula Ke Saath Honge
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Mawaliyon Se Banaye Rakhna

Naye Naye Nagmaha E Midhat Jo Roz Keh Keh Ke La Rahe Ho
Pa E Ziyarat Jo Sibt E Jafar Imam Ke Dar Par Aa Pare Ho
Zahoor Ka Waqt Agaya Hai Tum Apna Bistar Lagaye Rakhna

Leave a Comment

error: Content is protected !!