Kul Nazm E Kainat Hai Zehra Ke Hath Mein
Sher E Khuda Ka Haath Hai Zehra Ke Hath Mein
Allah Ne Manga Li Sar E Arsh Rotiyan
Koi Tou Aisi Baat Hai Zehra Ke Hath Mein
Jis Dar Se Chal Raha Hai Zamane Ka Har Nizam
Us Ki Maashiyat Hai Zehra Ke Hath Mein
Beti Ko Sath Laye Hain Is Wastay Rasool
Najraniyon Ki Maat Hai Zehra Ke Hath Mein
Maalik Hai Jaise Chahe Ye Tabdiliyan Kare
Loh O Kalam Dawaat Hai Zehra Ke Hath Mein
Kehne Lage Hussain Ye Rumaal Band Kar
Jaa Hur Teri Nijaat Hai Zehra Ke Hath Mein
Hathon Mein Hath Shabbar O Shabbir Ke Nahi
Islam Ki Hayaat Hai Zehra Ke Hath Mein
Kaise Mitaye Koi Aza Ki Nishaniyan
Hifz E Tabarrukat Hai Zehra Ke Hath Mein
Tasbih E Fatima Ne Takallum Bata Diya
Har Rad E Mushkilat Hai Zehra Ke Hath Mein
