Maalik E Kousar Tera Shohar
Tera Sana Khuwan Khud Hai Khuda
Zahra Ki Manqabat Ka Saliqa Kuch Aur Hai
Yani Kalam E Paak Ka Lehja Kuch Aur Hai
Kaabe Se Bhi Azeem Hai Sher E Khuda Ka Ghar
Us Ghar Main Bhi Batool Ka Hujra Kuch Aur Hai
Fizza Ko Ayaton Ne Gale Se Laga Liya
Yani Hasan Hussain Ki Aaya Kuch Aur Hai
Jannat Ki Ser Kesi Wo Malik Hain Khuld Ke
Meraj E Mustafa Ka Khulasa Kuch Aur Hai
Maghrib Ki Qasr Ho Nhi Sakti Kabhi Namaz
Khaak E Janab E Fatima Zahra Kuch Aur Hai
Suraj Uchala Chand Ko Sikka Bana Liya
Zahra Ke Ladllon Ka Khilona Kuch Aur Hai
Zahra Ke Dushmana Pe Apni Zaban Main
Sach Puchiye Tou Lutf E Tabbara Kuch Aur Hai
Quran Ne Ali Ko Kaha Rah E Mustaqeem
Waiz Ye Keh Raha Hai Wo Rasta Kuch Aur Hai
Ishq E Ali Ke Jurm Main Mare Gaye Jo Log
Jannat Main Un Shaheedon Ka Rutba Kuch Aur Hai
Quran Hai Bayaz E Takallum Isi Liye
Bibi Ki Madha Khuwani Ka Basta Kuch Aur Hai
