Zainab Galay Ko Choom Le

Rukhsat Ko Aaye Khaime Mein Jab Shah E Karbala
Tou Binte Ali Ne Jor Ke Haathon Ko Di Sada
Zainab Galay Ko Choom Le Bhaiya Tou Jaiye
So Jaye Thori Der Sakina Tou Jaiye

Amma Kahein Gi Dekh Ke Chehra Lahu Bhara
Zainab Ne Kya Khayal Nahi Rakha Bhai Ka
Chadar Se Saaf Karlu Jo Chehra Tou Jaiye

Zainab Ghareeb Hogayi Kuch Bhi Nahi Bacha
Laashe Utha Ke Aun O Mohammad Ke Main Zara
Ek Baar Phir Utar Lu Sadqa Tou Jaiye

Jane Na Deti Barchiyon Walon Mein Main Kabhi
Wo Maa Hai Aur Kaneez Hoon Bhaiya Main Apki
Ary Ran Mein Bula Rahi Hai Jo Zahra Tou Jaiye

Rokun Gi Phir Na Apko Wada Raha Mera
Nazdeek Hai Yahan Se Najaf Shah E Karbala
Ajaye Mere Paas Jo Baba Tou Jaiye

Lagta Hai Ran Mein Apka Karta Hai Intezar
Lehra Raha Hai Haath Main Khanjar Wo Baar Baar
Badal Le Shimr Irada Tou Jaiyye

Karni Hai Jang Aakhri Bhaiya Behen Nisar
Khoon Beh Raha Hai Kaise Chalaein Ge Zulfiqar
Baazu Ka Zakhm Bandh De Behna Tou Jaiye

Zindan Mein Hum Jo Qabr E Sakina Banaein Ge
Kya Ap Leke Ghazi Ko Us Waqt Ayein Ge
Kar Lijiye Behen Se Ye Wada Tou Jaiye

Kaise Bayan Ho Mir Takallum Wo Bekasi
Ye Keh Ke Binte Fatima Khamosh Hogayi
Haye Wade Mein Der Hoti Hai Acha Tou Jaiye

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *