Zainab Ko Ghazi Yad Aaya

Joon Joon Bazar Qarib Aaya
Zainab Ko Ghazi Yad Aaya

Haathon Se Ya Phir Baalon Se
Chehre Ko Chupaale Shehzaadi
Ye Shaam Shaher Ki Galiyaan Hain
Dil Thaamle Ayy Aaqa Zaadi
Fizza Ne Jab Ye Batlaaya

Mahol Sharaabi Jab Dekha
Baba Ki Vasiyat Yaad Aayi
Koyi Tu Mujhe Chadar La De
Hothon Pe Yehi Fariyaad Aayi
Jab Koyi Nahin Chaadar Laaya

Phir Shaam Ke Logon Ne Badla
Ajdaad Ka Yun Zainab Se Liya
Chadar Chini Patthar Mare
Or Garm Kabhi Paani Phaika
Dura Jo Sakina Ne Khaya

Abbas Kahaan Hai Ay Zainab
Jab Shimr Hiqaarat Se Bola
Gash Khane Lage Sab Ehle Haram
Kulsum Pukaari Wawaila
Sajjad Ko Yasrab Yaad Aaya

Khaamosh Rahi Aulaade Nabi
Karbal Se Yahaan Tak Zulm Saha
Khuli Ye Manaadi Karne Laga
Ye Kunba Hai Ek Baaghi Ka
Mazlum Jo Baghi Kehlaya

Har Gaam Naya Ek Zulm Huwa
Lachar Musaafir Zainab Par
Zainab Ko Rulaaya Zaalim Ne
Naaqon Ke Qarib Naiza Laa Kar
Shabbir Ka Sar Jo Dikhlaaya

Farhan Qayaamat Ka Gham Hai
Mazhar Ne Likha Hai Kya Nauha
Shabbir Bina Abbas Bina
Ye Pehla Safar Tha Zainab Ka

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *