Zakhm e Akbar(as) Pay Laila Rida Daal Do

Keh Rahe The Ye Ro Ro Ke Sarwar
Zakhm E Akbar Pe Laila Ridaa Daaldo
Mera Farzand Hai Khoon Main Tarr

Zakhm Sa Is Qadar Khoon Bahaa Hai
Khoon E Akbar Se Tarr Karbala Hai
Naiza E Zulm Ki Loriyo Se
Laadla Mera Soyaa Huwa Hai
Koi Isko Jagaade Na Aakar

Haath Main Khoon Ki Mehndi Lagaalo
Bass Tasawur Main Dulha Banaalo
Tumne Maanii Hai Jo Zindagi Bhar
Mannate Aaj Saari Badhaalo
Gurbato Ka Ye Sehra Sajaa Kar

Meri Behno Ko Kab Ye Pataa Hai
Wo Samajhtii Hai Ye So Raha Hai
Sard Hai Jism Saakit Hai Nabzain
Mera Kariyal Jawaa Mar Chuka Hai
Haath Seene Se Iskaa Hataakar

Ghum Ki Kaali Ghataa Chaa Rahi Hai
Mujh Ko Ye Baat Tarpaa Rahii Hai
Parda Saidaaniyo Ka Luteyga
Shaam E Gurbat Qareeb Aarahii Hai
Phir Mayassar Kahan Hogi Chaadar

Khaak Main Milgaya Hai Wo Baano
Jisko Mitti Bhi Lagne Na Di Ho
Kitne Nazon Se Paala Tha Usne
Zakhm Jaldii Se Bibi Chupa Do
Binte Zehra Na Dekhe Ye Manzar

Haye Meri Sakina Ki Gurbat
Kaise Dekhegi Bhai Ki Mayyat
Do Janaaze Na Uthain Ge Mujhse
Wo Tu Zindan Ki Hai Amaanat
Marna Jaye Kahi Mari Dukhtar

Usko Ye Keh Ke Dena Dilaasa
Tu Ne Dekha Na Bhai Ka Laasha
Teri Jaanib Se Madar Ne Lekin
Bekafan Ko Kafan Dediya Tha
Naam Beemaar Sughra Ka Lekar

Aye Hilaal Ek Mehshar Bapaa Tha
Khaima E Shaah Maatam Kadaa Tha
Ashq Aankho Se Paiham Rawaa The
Aal E Ahmad Me Shor E Bukaa Tha
Jab Ye Kehte The Sibt E Payambar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *