Zakhmi Hai Sakina

Rukhsar Mere Zakhmi Kanon Se Lahoo Jari
Bunda Bhi China Mere Kurta Bhi Jala Baba
Haye Itna Mujhe Mara Baba Haye Zakhmi Hai Sakina

Dhoondti Phirti Thi Mein Aap Ka Lasha Baba
Ek Zalim Ne Mujhe Rok Ke Mujhse Poocha
Dhoondti Kis Ko Hai Baba Ka Tere Naam Hai Kya
Mere Baba Hain Hussain Ibn E Ali Maiine Kaha
Phir Ghaiz Main Wo Aaya Chehre Pe Mujhe Mara
Reti Pe Gira Daala Mein Kehti Rahi Baba

Raah Mein Chalte Hua Qafla Thehraya Gaya
Pani Le Kar Jo Wahan Shimre Laeen Aaya Tha
Apne Lashkar Ko Wahan Pani Se Sehraab Kya
Pani Dikhla Ke Mujhe Sara Wahin Phaink Diya
Phir Hans Ke Wo Kehta Tha Piyasa Tujhe Rakhunga
Balon Ko Mere Khencha Or Khoon Risa Baba

Pusht Zakhmi Hui Sajjad Ki Tu Meine Kaha
Haye Maaro Na Usa Bhai Hai Bemaar Mera
Sun Ke Aawaz Meri Shimr Meri Samt Barha
Bhai Ko Chor Diya Phir Wo Sitam Mujha Pe Kya
Mara Mujhe Tamacha Chehre Se Lahoo Nikla
Wo Hath Sitamgar Ka Bhaari Tha Bara Baba

Kha Ke Zalim Ke Tamache Mujhe Ghash Aata Tha
Phir Tamacho Se He Woh Hosh Main Le Aata Tha
Hans Ke Kehta Tha Bula Baba Ko Ammu Ko Bula
Jitna Tu Roye Gi Utna He Tujhe Marunga
Phir Dil Mera Ghabraya Or Jism Bhi Tharraya
Ye Haal Mera Dekha Na Reham Kiya Baba

Mera Nanha Sa Gala Rassi Se Bandhwaya Gaya
Mujh Ko Panjoo Pe Kabhi Kaanto Pe Chalwaya Gaya
Taiz Chalte Hua Naqoo Se Bhi Girwaya Gaya
Sar Ba Rehna Mujhe Bazaar Mein Phirwaya Gaya
Thi Itni Thakan Baba Paon Bhi Na Uthta Tha
Us Waqt Jo Ghash Aaya Aise Jagaya Baba

Jab Main Zindan Se Rihai Kk Khabar Paoungi
Dadi Zahra Ki Main Turbat Pe Chali Jaoungi
Apni Tooti Hui Pasli Unhain Dikhlaongi
Chaar Sala Mein Zaeefa Hoon Yeh Batlaongi
Hum Dono Hain Mazlooma Ek Jaisa Hai Ghum Apna
Zalim Ne Jo Rulwaya Dono Ne Kaha Baba

Kaisa Wo Mazhar O Farhan Tha Ghum Ka Manzar
Qaid Khane Main Sakina Ko Mila Baba Ka Sar
Royi Kuch Dair Wo Muh Baba Ke Muh Per Rakh Kar
Bas Yehi Kehte Huay Kar Gaye Duniya Se Safar
Ye Aakhri Jumla Tha Ab Sabr Nahi Hota
Sar Rone Laga Sheh Ka Beti Ne Kaha Baba

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *