Zakhmi hain Fatima s.a

Dar Jal Chuka Hai Yusuf E Zahra Kab Aaoge
Zahra Sadaein Deti Hai Maula Kab Aaoge

Zakhmi Hain Fatima Tooti Hai Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman

Dekar Sadaein Aap ko Leti Hai Hichkiyan
Ya Sahib Az Zaman


Pehlu Shikasta Hogaya Jaldi Sambhal Lo
Binte Nabi Ko Aag Se Aakar Nikal Lo
Maula Tumhari Dadi Hai Sholo Ko Darmiyan


Dekha Tou Hoga Zulm Nigaah e Imam Se
Beton Ke Saamne Kabhi Logo Ko Saamne
Khaye Nabi Ki Beti Ne Durre Kahan Kahan


Afzal Jo Buturab Hai Kul Kainat Se
Khyber Ko Fatha Jisne Kiya Apne Haath Se
Wo Sher e Kibriya Kahan Aur Rasiyan Kahan


Madar Ka Chehra Takti Hain Hasrat Se Baar Baar
Zainab Ke Saath Saath Hai Kulsoom Beqarar
Chehre Pe Neel Dekh ke Roti Hai Betiyan


Ek Zalzala Sa Taari Tha Qabr E Rasool Par
Zalim Ne Aise Haath Uthaya Batool Par
Bikhri Zameen Pe Toot Ke Zahra Ki Baliyan

Kis Din Zahoor Paoge Aye Ibn E Fatima
Batla Rahi Hai Zahra Ki Ye Zer e Darr Sada
Yasrab Mein Tumne Dekhi Hai Zakhmo Se Chur Maa

Aye Waris E Rasool Qayamat Phir Aagayi
Ghaibat Mein Tum Ho Aur Shahadat Phir Aagayi
Aakar Suna Tou Do Hume Ghurbat Ki Daastan

Har Dushman E Batool Ko Tukro Mein Bant Do
Tum ko Qasam Hussain Ki Wo Haath Kaat Do
Jis Haath Ka Hai Bibi Ke Rukhsar Par Nishan

Ayyam E Pursadari E Zahra Ka Waasta
Karte Hai Qum Mein Mir Takallum Ye Sab Dua
Matam Kare Baqiyya Mein Har Matami Jawan

1 thought on “Zakhmi hain Fatima s.a”

Leave a Comment

error: Content is protected !!