Zara Rok Le Khanjar

Zainab Ko Dekha Sheh Ne Jo Nazdeek e Qatl e Gah
Arey Uss Dam Ghareeb e Zehra Ne Qatil Se Ye Kaha
Zainab Nikal Aye Hai Zara Rok Le Khanjar
Mola Ye Sada Dete Thy Aye Shimr e Simtgar

Aakhir Ko Safar Hona Hai Is Dar e Mahad Se
Dou Batein To Kar Lene De Bhai Ko Bahan Se
Aati Hai Meri Samt Meri Ladli Khuwahar

Tu Lakh Simtgar Hai Magar Kaam Ye Kar Ja
Ae Shimar Mere Seene Se Kuch Dair Utar Ja
Mar Jayen Gi Is Hal Main Dekha Jo Baradar

Bhai Ki Muhabat Main Wo Betab Huwe Hai
Khaime Se Bohat Tez Wo Maqtal Ko Chali hai
Sar Se Meri Behna Ke Utar Jaye Na Chaddar

Didar Kare Wo Mera Main Bhi usse Dekhon
Zakhmi Hon Magar Aakhri Tazeem To Karlon
Ayy Shimr Behan Hai Ye Meri Maa Ke Barabar

Zainab Chali Jaye To Sitm Chahe Jo Dhana
Hat Jaye Behan Meri To Khanjar Ko Chalana
Kuchh Dair Mere Shano Pe Rehne De Mera Sar

Abbas Ki Khatir Mujhe Pegham Ye De Gi
Shayad Ali Akbar Ki koi Baat Kare Gi
Kuchh Dair To Rone De Bahan Bhai Ko Mil Kar

Mazloom Ki Tasweer ko Ankhon Main Basa Kar
Shabir Se masoom Sakina Ko Mila Kar
Wada hai Chali Jaye Gi Wapis Meri Khuwahar

Kehne Laga Mola Se Simtgaar Ye Sans Kar
Pehle Bhi Nikal Aye Thi Ye Khaime Se Bahar
Are Sheh Ne Kaha Jab Qatl Huwa Tha Ali Akbar

Sar Sheh Ka Juda Karne Main Masroof Layin Tha
Kya Kehta Hai Mazloom Wo Sunta hi Nahi Tha
Kehta Raha Sar Tan Se Juda Ho Ke Bhi Akbar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *