Zehra Aur Hussain

Khuwab Mein Zahra Ne Baba Ko Jo Dekha Aik Shab
Khush Hui Paas Mein Baba Ke Chali Jao Gi Ab
Haye Rone Lagi Bachon Ka Khayal Aa Gaya Jab
Ye Khabar He Na Hui Paas Hussain Aa Gaye Kab
Amma Dhoonde Ge Kahan Yaad Agar Aaye Gi
Hum Tou Mar Jayein Ge Agar Aap Chali Jayein Gi
Maa Ne Jab Ye Suna
Dil Tarapne Laga
Pyar Karte Hue Fatima Ne Kaha
Dekho Hussain Mere Hussain
Aise Nahi Kehte

Maa Kisi Ki Hamesha Rahi Hai Kabhi
Main Bhi Bichri Thi Amma Se Bachpan Mein He
Maa Ke Jane Ka Dukh Tou Bohot Tha Magar
Dekho Main Bhi Tou Bin Maa Ke Jeeti Rahi
Tum Ko Meri Qasam Tum Se Bichre Jo Hum
Zabt Karna Hai Aye Laal Maa Ka Ye Gham

Haal Maine Kisi Ko Sunaya Nahi
Khud Tou Royi Ali Ko Bataya Nahi
Mera Pehlu Shakista Hai Bas Is Liye
Apne Seene Se Tujh Ko Lagaya Nahi
Tooti Hain Pasliyan Kar Na Payi Bayaan
Kitni Takleef Mein Jee Rahi Hai Ye Maa

Mujh Ko Maloom Hai Mere Noor E Nazar
Pyas Lagti Hai Tum Ko Bohot Raat Bhar
Pyas Sehne Ki Adat Bhi Dalo Zara
Pyasa Rehna Pare Kab Kahan Kya Khabar
Pyas Tum Ko Lage Aur Na Pani Mile
Ye Dua Hai Ke Wo Din Na Aaye Kabhi

Aye Mere Dil Mere Chain Mere Haseen
Na Pareshan Ho Maa Abhi Hai Yahin
Dekho Marne Ki Ab Baat Karna Nahi
Mout Se Pehle Hum Mar Na Jaye Kahin
Tum Ho Duniya Meri Tum Se Hai Zindagi
Tum Ko Dekhun Tou Chalti Hain Sansein Meri

Tum Ko Khana Bhi Fizza Khilaye Gi Ab
Aur Sawere Wohi Mun Dhulaye Gi Ab
Tum Jahan Jao Ge Sath Jaye Gi Woh
Sath Maa Ki Tarhan Woh Nibhaye Gi Ab
Pale Gi Ab Wohi Zid Na Karna Koi
Khush Raho Ge Tou Maa Ko Bhi Ho Gi Khushi

Din Woh Aaya Ke Jab Chal Basi Fatima
Maa Ki Maiyat Pe Shabbir Ne Di Sada
Tum Bulao Gi Tou Pas Aaun Ga Main
Toote Bande Kafan Fatima Ne Kaha
Aa Ja Aye Meri Jaan Tujh Pe Qurban Maa
Jab Hussain Aa Ke Lipte Tou Boli Ye Maa

Aye Raza Aur Zeeshan Dill Tham Lo
Ro Ke Shabbir Kehte Thy Amma Suno
Dekho Tum Ne Bulaya Tou Main Aa Gaya
Jab Bulaun Ga Aao Gi Wada Karo
Maa Ne Wada Kiya Beta Chup Ho Gaya
Jab Janaza Utha Phir Na Aayi Sada

Leave a Comment

error: Content is protected !!