Zia E Khoon E Shaheedan Ki Dilkashi Zainab
Husainiyat Ke Charagoun Ki Raushni Zainab
Kiya Woh Rah Mein Bartaw Kalma Goyo Ne
Ke Jaise Thee Na Nawasi Rasool Ki Zainab
Aza E Shah Mein Hi Zindagi Tamam Hui
Na Apne Aun O Mohammad Ko Ro Saki Zainab
Ali Ke Lal Ka Lasha Tadap Utha Us Dam
Tumhare Bazu Mein Jis Dam Rasan Bandhi Zainab
Kisi Ne Mara Jo Patthar To Chup Rahi Lekin
Kaha Jo Baghi Kisi Ne To Ro Parhi Zainab
Lahu Main Dobi Hui Bediya Wo Bete Ki
Safar Mein Tham Ke Dil Dekhti Rahi Zainab
Husain Choor The Zakhmon Se Phir Bhi Uth Baithe
Kaha Jo Shimr Ne Khaime Se Aa Gai Zainab
Hijab Mein Bhi Jahan Se Guzar Na Mushkil Tha
Wahan Pe Kaise Khule Sar Khadi Rahi Zainab
Husainiyat Ko Baqa Is Liye Nisar Mili
Yazidiyat Ke Mukabil Nahi Jhuki Zainab
