Hasan Ke Zikr Main Jab Zikr E Kirdigar Kiya
Mere Khuda Ne Usay Hamd Main Shumar Kiya
Khata Main Is Ko Nakireen Ne Shumar Kiya
Hasan Ke Zikr Main Jis Ne Bhi Ikhtisar Kiya
Khuda Ka Sher Hua Apne Sher Per Naza
Qalam Ki Nok Se Shabbar Ne Jab Shikar Kiya
Palak Jhapakte He Bad Bakht Ban Gaya Aurat
Hasan Ne Lehja E Kun Aisa Ikhtiyar Kiya
Sakhi Hasan Ne Bulaya Jo Apne Pas Mujhe
Mujhe Khud Apni Khataon Ne Sharamsaar Kiya
Hasan Ka Jhoola He De Deta Us Ko Par Lekin
Hussain Ke Liye Fitrus Ne Intezar Kiya
Ye Lashe Marhab O Antar Bataein Ge Ke Unhein
Hasan Ke Baba Ne Kis Tarhan Do Se Char Kiya
Nabi Ke Deen E Ali Se Hussain Tak Ka Safar
Hasan Ke Naam Ki Tasbeeh Parh Ke Paar Kiya
Hasan Hussain Alag Se Teri Khabar Lenge
Agar Ali Ke Fazail Pe Shak Ka Waar Kiya
Ye Zulfiqar Se Itra Ke Keh Raha Tha Qalam
Hasan Ne Mujh Pe Tere Hote Aitbaar Kiya
Tabara Karte Hain Khul Kar Hasan Ke Dushman Per
Ye Kaam Naqd Ka Hai Hum Ne Kab Udhar Kiya
Bicha Ke Farsh E Wila Hum Ne Aj Mir Hasan
Hasan Ke Jashan Main Qayam Ka Intezar Kiya
