Gham Khaye Gi Zainab Mar Jaye Gi Zainab
Zindan Se Reha Hoke Jo Ghar Jaye Gi Zainab
Bin Bhai Ke Jaye Gi Tu Mar Jaye Gi Zainab
Ghar Lutgaya Pardes Main Veeran Hai Dinya
Zindan Se Reha Hoke Bhi Zindan Hai Dunya
Is Qaid Se Ghar Jaake Bhi Kya Paaegi Zainab
Suna Hai Makan Jisme Wo Shehdayi Na Honge
Ghar Hoga Magar Ghar May Mere Bhai Na Honge
Ta Hashr Yehi Bhai Ka Gham Khayegi Zainab
Bachpan Hai Jahan Aun O Mohamed Ne Guzaara
Ab Un Dar O Deewar Ki Tanhai Ne Maara
Ab Unke Na Saye Main Khabi Jayegi Zainab
Be Aas Mujhe Kar Gaye Bache Mere Kamsin
Bin Beton Ke Kehlayi Tu Kehlayi Main Lekin
Bin Bhai Ke Duniya Main Na Kehlaye Gi Zainab
Is Baat Pe Hairat Hai Bahot Ahle Watan Main
Abbas Se Bhai Ki Bahan Aur Rasan Main
Roodad Ye Kis Tarha Se Batlaye Gi Zainab
Aaya Na Koi Laut Ke Bhai Tera Sughra
Suna He Rahega Bani Hashim Ka Mahella
Kya Deke Dilaasa Usa Behlaye Gi Zainab
Haye Roti Hui Jab Jaaun Gi Nana Ki Lehad Par
Aur Maajra Puche Gi Wahan Rooh e Payambar
Kurta Wo Phata Bhai Ka Dikhlayegi Zainab
Aaye Na Hilal Aisa Kada Waqt Kisi Par
Kis Kis Ke Liye Royegi Ye Bekas O Muztar
Kis Kis Ka Wahan Fateha Dilwaye Gi Zainab
