Zakhmi Chehra Khoon Rawan Hai
Wo Hasnain Ki Maa Hai
Jis Ke Rukh Par Surkh Nishan Hai
Shahid Hai Ghar Ki Deewarein
Rukne Par Hain Saansein
Jo Bus Kuch Din Ki Mehman Hai
Jo Darbar Se Aakar Ghar Main
Puch Rahi Hai Sab Se
Meri Zainab Beti Kahan Hai
Aik Ki Garden Rassi Main Hai
Aik Ka Pehlu Zakhmi
Wo Hasnain Ka Baba Jaan Hai
Mohsin Mohsin Bol Rahi Hai
Jalte Dar Ke Neechay
Jis Ke Charon Aur Dhuwan Hai
Fiza Deti Hai Awazein
Band Hain Sab Darwaze
Jis Ke Liye Yasrab Veeran Hai
Jis Ki Mayyat Shab Ko Uthi Thi
Aur Chalees Thi Qabrein
Jis Ki Qabr Na Jane Kahan Hai
Akbar Pasliyan Tooti Hain Jis Ki
Qabr Main Bhi Hai Zakhmi
Ab Tak Jis Ka Khoon Rawan Hai
