Janaza

Pehla Taboot Tha Madine Mein Shab Ke Parday Mein Jo Uthaya Gaya
Qabrein Chalees Hain Gawah Iss Ki Yeh Janaza Bohat Chupaya Gaya

Jis Ka Ailaan Nahi Howa Koi Yeh Madine Ka Woh Janaza Hai
Yeh Hai Ikloti Beti Ahmad Ki Kalma Goyon Ne Jis Ko Mara Hai

Thy Faqat Saat Log He Aise Jo Bulaye Gaye Janazay Main
Unn Se Hat Kar Bharay Madine Se Na Bulaya Na Koi Aaya Hai

Bas Yeh Tafseel Hai Musayab Ki Hai Yehi Dard Ka Khulasa Bhi
Jis Keh Aagay Na Sar Uthana Tha Oss Pe Ummat Ne Hath Uthaya Hai

Kaisi Ghurbat Hai Iss Janazay Ki Kandah Deney Ko Chaar Kandhey Nahi
Yeh Janaza Uthane Walon Mein Aik Mastoor Hai Jo Fizza Hai

Aman Ka Shehar Tha Madina Magar Qabar-e-Zahra Wahan Nahi Mehfooz
Taig Utha Kar Jahan Baqiya Mein Aik Mazloom Pehra Deta Hai

Haye Ghurbat Ke Bint-e-Sarwar Ko Taziyane Se Jis Ne Mara Tha
Ossi Qunfuz Laeen Ko Hakim Ne Khas Inam Se Nawaza Hai

Bint-e-Sarwar Ki Yeh Wasiyat Thi Woh Na Aaein Marey Janazay Par
Marey Baba Ke Baad Jis Jis Ne Ya Ali Mera Dil Dukhaya Hai

Jurm Kya Tha Batool Ka Mohsin Sirf Itna Ali Ki Zojah Thi
Qatal Kar Ke Batool Logon Ne Khum Ka Badlah Tha Jo Chukaya Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!