Jo Puchiye Ke Kya Hai Fatima
Karam Ki Inteha Hai Fatima
Hijab E Kibriyai Hai
Kisi Ki Kab Rasai Hai
Ke Parda E Khuda Hai Fatima
Wo Shamil E Durood Hai
Wo Dakhil E Durood Hai
Wo Manzil E Durood Hai
Wo Qabil E Durood Hai
Wo Hasil E Durood Hai
Wo Hamil E Durood Hai
Ke Markaz E Kisa Hai Fatima
Ayan Hai Wo Nehaa Hai Wo
Zamaa Hai Wo Makaan Hai Wo
Sadaa E Kunfakaan Hai Wo
Jahan Khuda Wahan Hai Wo
Zameen Hai Aadmi Ki Maa
Zameen Ki Bhi Maa Hai Wo
Ke Fatir us Sama Hai Fatima
Jo Panjetan Simat Gaye
Tu Ek Zaat Ban Gayi
Wo Ek Zaat Phail Kar
Ye Kainaat Ban Gayi
Ye Kainaat Saj Gayi
Har Ek Baat Ban Gayi
Pata Chala Ke Kya Hai Fatima
Wo Qaul Hai Muqala Hai
Wo Maadin e Risala Hai
Ali Ki Hum Niwala Hai
Ali Ka Hum Piyala Hai
Hussain Ka Hawala Hai
Hasan Ko Jisne Paala Hai
Wo Paak Sayeda Hai Fatima
Risalatain Wilayatain
Imamatain Hidayatain
Sharafatain Najabatain
Taharatain Shahadatain
Karamatain Sadaqatain
Ibadatain Riyazatain
Inhi Ka Tu Sira Hai Fatima
Wo Jalwa E Ghayaab Hai
Wo Noor Ki Kitaab Hai
Khuda Ka Wo Hijaab Hai
Khuda Ka Wo Naqaab Hai
Ke Juzz Nabi O Juzz Ali
Kahan Kisi Ko Taab Hai
Khuda Ka Aaina Hai Fatima
Usi Ke Hai Ye Behr O Barr
Usi Ke Hai Ye Khushk O Tarr
Usi Ke Hai Shajar Hajar
Usi Ke Hai Gul O Samar
Karu Kuch Aur Mukhtasar
Khuda Tu Wo Nahi Magar
Khuda Se Kab Juda Hai Fatima
Meri Sada Sun Ayy Khuda
Dilo Mein Sabke Noor Rakh
Ke Sarwar O Naved Ko
Kasafton Se Door Rakh
Ke Hazir O Huzoor Rakh
Hamara Wasta Hai Fatima
