Utho Sakina Chalein Karbala

Zindann Se Jab Riha Hue Sadat e Karbala
Maa Ne Lipat Kar Qabr e Sakina Pe Di Ye Sada
Utho Sakina Chale Karbala
Choti Si Turbat Pe Maa Ne Kaha
Zindan Sa Jata Hai Ab Qafla

Mujhe Shahzadi Tumhari Qasam
Na Rakhun Gi Zindan Se Bahir Qadam
Safar Ki Ab Hoti Hai Tayarian
Amari Main Bethe Hai Ahl E Aza
Ghurbat Ka Mere Tumhain Wasta

Wo Pehle Ke Jasi Tu Ghurbat Nahi
Ayy Bibi Hamari Woh Halat Nahi
Tumhain Shamiyon Se Ab Ayy Meri Jaan
Kafan Mangne Ki Zaroorat Nahi
Lo Mil Gai Hai Tumhari Rida

Mujhe Yaad Asghar Ki Hai Babasi
Lahad Se Wo Mayat Nikali Gai
Akele Main Rehne Na Dun Gi Tumhain
Bharosa Nahi Shamion Ka Koi
Rehte Hai Charo Taraf Ashqian

Ye Shami Kahan Tumko Behlaye Ga
Tumhari Lahad Per Nahi Aye Ga
Raha Ga Andhera He Zindan Main
Haram Jab Yahan Se Chale Jaye Gaye
Kon Aye Ga Phir Jalane Diya

Kahani Padar Ki Sunao Gi Main
Agar Neend Ayi Sulao Gi Main
Akele Na Naqe Pe Bethu Gi Tum
Tumha Sath Apna Bithao Gi Main
Ab Tu Rasan Main Na Hoga Gala

Mujhe Maar Daale Ga Bus Yahi Ghum
Qamar Main Hai Beta Tumhari Tu kham
Waram Bazou Ka Mujhe Yaad Hai
Tumhe Tu Dikhai Bhi Deta Hai Kum
Akbar Sa Bibi Mile Gi Shifa

Bari Dair Thari Hai Darbar Main
Yahan Per Naa Roko Ziyada Unhe
Ke Pehlu Pe Ek Hath Rakhe Hue
Sada De Rahi Hai Sakina Tumhe
Lene Ko Ayi Hai Khud Sayeda

Thi Zindan Main Akber Ajab Woh Ghari
Rehai Pe Roti Thi Har Ek Phuphi
Idhar Khoon Rota Tha Abid Udhar
Sakina Lahad Main Tarapti Rahi
Jab Bhi Ye Madar Ne Ro Kar Kaha

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *