Faqeeron Ka Bhi Kya Chahe Jaha Basti Basa Baitha
Ali Walaye Jahan Bethe Wahi Jannat Bana Baitha
Faraz e Daar Ho Maqtal Ho Zinda Ho ke Sehra Ho
Jali Ishq e Ali Ki Shama Aur Purwane Aa Baitha
Koyi Mosam Koyi Bhi Waqt Koyi Bhi Elaqa Ho
Jahan Zikar e Ali Chara Wahan Deewane Aa Baitha
Ali Walo Ka Marna Bhi Koyi Marne Main Marne Hai
Chale Apne Makan Sa Aur Ali Ke Dar Pe Ja Baitha
Idhar Rukhsat Kiya Sub Ne Udhar Aaye Ali Lene
Yahan Sab Ro Rahe Thay Hum Wahan Mehfil Saja Baitha
Abhi Mai Qabra Main Leta He Tha Ik Noor Sa Phaila
Meri Bali Pe Aakar Khud Ali e Murtaza Baitha
Ali Ke Naam Ki Mehfil Saji Sheher e Khamosha Main
Thay Jitna Bawafa Wo Sub Ke Sub Mehfil Main Aa Baitha
Nizamat Ke Liye Mola Ne Khud Mesum Ko Bulwaya
Wo Lehja Tha Ke Sub Danto Tale Ungli Daba Baitha
Ya Kaun Aya Ke Istuqbal Main Sub Umbiya Utthay
Na Baithe Ga Koyi Tub Tak Na Jub Tak Fatima Baitha
Ali Walo Ke Marne Ka Hai Bus Itna Sa Afsana
Ke Jaisa Koyi Masjid Sa Azakhane Main Ja Baitha
Ali Walo Ke Naron Ne Raza Aisa Sama Bandha
Ke Khud Mola Bhi Apne Naam Ka Nara Laga Baitha
